Purani Jeans

Puraanee jeans aur guitar
Muhalle kee vo chhat aur mere yaar
Vo raaton ko jaagnaa
Subah ghar jaanaa kud ke diwaar

Vo cigarette peenaa gali mein jaa ke
Vo karnaa daanton ko ghadi-ghadi saafe
Pahunchnaa college hamesha late
Vo kehna sir kaa out from the class

Vo baahar jaa ke hamesha kehna
"yahaan ka system hee hai karaab"
Vo jaa ke canteen mein table baja ke
Vo gane gaana yaaron ke saath

Bas yaaden, yaaden, yaaden rah jaatee hain
Choti, choti, baathen rah jaatee hain
Bas yaaden, yaaden, yaaden rah jaatee hain
Choti, choti, baathen rah jaatee hain
Bas yaaden...

Vo paapaa ka daantna
Vo kehna mummy ka, "choden jee aap
Tumhein to bas nazar aathaa hai
Jahaan mein beta mera hee karaab

Vo dil mein sochna kar ke kuch dikhaa den
Vo karnaa planning rose naee, yaar
Ladakpan ka vo pehlaa pyaar
Vo likhnaa haathon pe A+R

Vo khidki se jhaankana
Vo likhnaa letter unhen baar-baar
Vo denaa tohafe mein sone kee baaliyaan
Wo lenaa doston se paise udhaar

Bas yaaden, yaaden, yaaden rah jaatee hain
Choti, choti, baathen rah jaatee hain
Bas yaaden, yaaden, yaaden rah jaatee hain
Choti, choti, baathen rah jaatee hain
Bas yaaden...

Aisa yaadon ka mausam chalaa
Bhuulataa hee nahin dil mera

Kahaan meri jeans aur guitar
Muhalle kee vo chhat aur mere yaar
Aur mere yaar
Puraanee jeans



Credits
Writer(s): Ali Haider, Arshad Mehmud, Nasir Kazmi, Iqbal Asif, Jhon Mall
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link