Meer-E-Kaarwan (From "Lucknow Central")

O bandeya... o bandeya!
O bandeya... o bandeya!
O... bandeya o bandeya
Teri manzilein hui gumshuda
Phir bhi raasta hai tera mehermaan
O Meer-e-kaarwan
Teri raahon pe rawaan
Ki mere naseebon mein ho koi to duaa
O Meer-e-kaarwan
Le chal mujhe wahaan
Ye raat bane jahaan subah
Meer-e-kaarwan
O Meer-e-kaarwan
O bas kar dil ab
Bas kar bhi...
Ho... bas kar dil
Bas kar bhi uss raah jaana hi nahi
Pal do pal ka saath safar
Phir hogi judaa rehguzar
Nadiya thaam ke jo behte rahe
Milte hain woh kinare kahaan
O Meer-e-kaarwan
Teri raahon pe rawaan
Ki mere naseebon mein ho koi to duaa
O Meer-e-kaarwan
Le chal mujhe wahaan
Ye raat bane jahaan subah
Meer-e-kaarwan
O Meer-e-kaarwan
O...
Bahaar kyun tere darr na aati
Hai kya bharam jo nazar dikhati
Ab aur kitni ye raat baaki
Hai raat baaki, ye raat baaki
Nighal na jaayein mujhe ye saaye
Gale mein ghut'ti hain sard aahein
Bata o bande kyun maat khaye
Kyun maat khaye.
Haan. laage na dil ab, laage nahi
Haan. laage na dil ab, laage nahi
Mere pairon tale nikli jo zameen
Iss basti mein tha mera ghar
Usey kis ki lagi phir nazar
Woh jo sapno ka tha kaafila
Aisa jhulsa ki ab hai duaan
O Meer-e-kaarwan
Teri raahon pe rawaan
Ki mere naseebon mein ho koi to duaa
O Meer-e-kaarwan
Le chal mujhe wahaan
Ye raat bane jahaan subah
Meer-e-kaarwan
O Meer-e-kaarwan
(Chal akela raahi
Chal chal akela raahi
Haafiz tera ilaahi
Haafiz tera ilaahi) (x-4)



Credits
Writer(s): Rochak Kohli, Adheesh Verma
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link