Mera Dil Aur Meri Jaan

Aakhri waqt hai, kya raunaq-e-duniya dekhoon
Kya raunaq-e-duniya dekhoon, kya raunaq-e-duniya dekhoon
Ab toh bas ek hi dhun hai (ab toh bas ek hi dhun hai)
Ke Madina dekhoon (ke Madina dekhoon)

Mera dil aur meri jaan Madinewale
Tujh pe sau jaan se qurbaan, Madinewale
Phir tamanna-e-ziyarat ne kiya dil bechain

Aakhri waqt hai, kya raunaq-e-duniya dekhoon
Duniya dekhoon, duniya dekhoon
Ab toh bas ek hi dhun hai ke Madina dekhoon
Ab toh bas ek hi dhun hai ke Madina dekhoon
Ab toh bas ek hi dhun hai

Mere Maula, meri aankhein mujhe wapas kar de
Mere Maula, meri aankhein mujhe wapas kar de
Taake is bar main jee bhar ke Madina dekhoon
Ab toh bas ek hi dhun hai

Phir tamanna-e-ziyarat ne kiya dil bechain
Phir Madine ka hai armaan Madinewale
Phir Madine ka hai armaan Madinewale

Mera dil aur meri jaan Madinewale
Tujh pe sau jaan se qurbaan, Madinewale

Likh de, likh de, likh de, likh de, likh de, likh de
Likh de, likh de, Aaqa, likh de, likh de
Likh de, likh de meri kismat mein Madina likh de

Raatein bhi Madine ki, baatein bhi Madine ki
Raatein bhi Madine ki, baatein bhi Madine ki
Jeene mein yeh jeena hai, kya baat hai jeene ki
Jeene mein yeh jeena hai, kya baat hai jeene ki
Tareef ke laayiq jab alfaaz nahi milte
Kis dar pe kare koi tareef Madine ki

Likh de, likh de, likh de, likh de, likh de, likh de
Likh de, likh de meri kismat mein Madina likh de
Hai teri mulk-i-qalamdan, Madinewale
Hai teri mulk-i-qalamdan, Madinewale

Mera dil aur meri jaan Madinewale
Tujh pe sau jaan se qurbaan, Madinewale

Bhar de, bhar de, bhar de, bhar de, sohniya
Bhar de, bhar de mere Aaqa meri jholi bhar de

Tum zamane ke mukhtar ho, ya Nabi
Bekason ke madadgaar ho, ya Nabi
Sab ki sunte ho, apne hon ya ghair hon
Tum ghareebon ke ghamkhaar ho, ya Nabi

Bhar de, bhar de, bhar de, bhar de, bhar de, bhar de
Bhar de, bhar de mere Aaqa meri jholi bhar de
Ab na rakh be-sar-o-samaan, Madinewale
Ab na rakh be-sar-o-samaan, Madinewale

Mera dil aur meri jaan Madinewale
Tujh pe sau jaan se qurbaan, Madinewale

Fazl-e-Rabbul-Ula aur kya chahiye
Mil gaye Mustafa aur kya chahiye
Daamane Mustafa jin ke haathon mein hai
Un ko Rauz-e-Jaza aur kya chahiye
Ab apni gulaami ki de de sanad
Bas yah izzat o martaba chahiye

Sag-e-Taiba
Sag-e-Taiba, Taiba
Sag-e-Taiba mujhe sab kehke pukare bedham
Yahi rakhein, yahi rakhein
Yahi rakhein, yahi rakhein
Yahi rakhein meri pehchaan, Madinewale
Yahi rakhein meri pehchaan, Madinewale

Mera dil aur meri jaan Madinewale
Tujh pe sau jaan se qurbaan, Madinewale

Ab toh bas ek hi dhun hai ke Madina dekhoon
Ab toh bas ek hi dhun hai ke Madina dekhoon
Ab toh bas ek hi dhun hai



Credits
Writer(s): Muhammad Hassan Raza Qadri
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link