Kahani

Kahani nhi, kauf tha ek
Hogya 18 kya ka mai
Jis khwaab ko leke dauda abhi tak
Paas se dekh rha tha ab mai
Jab aata hai sarr pe darr ki
Khaega kya, khilage kya
Maa baap jo boodhe hote jaa rhe tere mere
Unke budhaape me tu kamaega kya
Haan sach! Mach gya hai sarr
Mehnat to kari kaha hai fal
Meri kahani kya kum struggle
Meri zubani kya kum hustle
Fasal? Uska to pata nhi
Bazaar me koi saga nhi
Teri meri jaisi kahani ke bahot hai log jinki jeene ki sirf ek wajah yahi

Meri kahani ye meri zubani hai
Teri kahani bhi meri zubani ye
Jaake batana humare baare me
Hote kaise asal kalakaar hai

Har raat, har din
Ye diye jalte ye diye bujhte
Thokarr khaa khaa ke
Patthar ye armaan hote hai
Patthar ye armaan hote hai
Lagg lagyi lag jaane do
Hosh behosh hojane do
Jaata ka tera ya mera
Isse dhund me kho jaane do
Sir se dimaag ye dheela hua
Band kamre me neela hua
Kaun dikhayega meri kahani?
Neelami baazar seeda hua!
Ye teri struggle
Ye meri struggle
Huun to mai bhi insaan magar
Kya meri hustle hai teri fasal
Arre jaa! Ye meri tussle
Roz ladte hai khud ke hi aap se
Na baap se koi gile koi shikwe
Hai jo hai to hai nakaami ke saap se
Haan dhyaan de, in badhaaon ko laangh ke
Jaunga uss paar chaand pe
Tab luunga saans me
Phir bajegi meri kahani ye
Ki alag hi tha toofaani mai
Logo ko kaha dikhaoge mera ragda rona
Bologe bhagwaan mai
Lekin tu jaan le
Na koi jaadu saath hai
Na koi bhagwan mai
100 ka 100 kala samraat mai

Meri kahani ye meri zubani hai
Teri kahani bhi meri zubani ye
Jaake batana humare baare me
Hote kaise asal kalakaar hai



Credits
Writer(s): Derick Nathaniel
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link