Maria

Kahaniyon mein dekha tha
Ek ladka ek ladki
Hogi pehli mulaqat aur
Khul jaayegi dil ki woh khidki

Main bhi tha kuch aisay hi
Intizaar mein ke
Meri zindagi mein aayegi
Ek bholi bhaali si ladki

Kuch dino se haal hai
Aisa meray dil ka
Isko na khabar hai aasmaan ki
Na zameen ki par
Yeh gunguna raha hai pyaar se
Jab se hai suna tumhara naam

Muskurata chehra
Sunehray se baal
Neeli si yeh aankhein
Kar gayi bura haal
Meray dil ko legayi ho kahan
O Maria

Chain bhi gaya hai
Neend bhi gayi hai
Meray dil mein tou ajab si
Aag lag gayi hai
Par issay main kaisay samjhaaoon
O Maria

Ek khuli kitaab mein
Panney houn hazaar par har
Panney pe main likhna chaahoon
Teray meray pyaar ki kahaani

Socha hai banaaoonga ek aisa ghar
Ke jis mein hongay main aur tum
Hamaray bachay poori hojaayegi
Zindagaanii

Kiya tum ne bhi hai socha meray baare mein
Ya tum ko chaiyeh koi aur
Maine tou hai keh diya iss dil se
Ke mujhko tou na bhaaye koi aur

Sirf yeh muskuraata chehra
Sunehray se baal
Neeli si yeh aankhein
Kar jaaye bura haal
Meray dil ko bhaa gayi ho tum
O Maria

Chain bhi gaya hai
Neend bhi gayi hai
Meray dil mein tou ajab si
Aag lag gayi hai
Par issay main kaisay samjhaaoon
O Maria



Credits
Writer(s): Saif Altaf
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link