VDM - Jung

Jung

Ek jung jag se
Ek jung mann mein
Ek jung haq ke liye
Sab jung jabse janme
Hum kabhi na thamte (Na)
Kalam bharte panne (Yeah!)
Ladna hi aata hai hatna ni aata
Koi leke dekhe pange

Sheeshe mein dekhu toh dikhta hai baap sabka
Bolna sab jaante karna sabke na baska
Dharti maidaan hai toh hum sab sipaahi
Jaante sabhi koi deta ni gavaahi
Duniya ke dard ko ab na sahunga
Haq mein jo mere vo leke rahunga
Aaraam hota hai haraam ke baraabar
Meri saansein chalri hain toh main bhi chalunga
Apni pe aaun toh lanka jalaadu
Ye rakt kya cheez hai isse bhi bahaadu
Bahadur the poorvaj hum kyu darpok
Mera kalam chaabi khole har tarazu
Flow mein itna pace
Darke kaampte sunke mere gaane ka bass
Jab VDM baje
Gaadi ki speed badhe
Bachche kare volume low
Desi munde karein tezz

Ye dharti ek gol chakkar hai
Shayad isliye koi seedhi baat ni karta

Sabko jeene se pyaar
Fir paise pe har insaan kyu marta

Kehke sabko bhai
Unka kyu tu nuksaan hai karta

Agar bhagwaan ke bachche hain saare
Toh tujhme bhi khoon dhaudhta hai rab ka

Word up

Asli badnaam
Nakli ki izzat
Mehnat se zyaada
Zaroori kyu kismat
Udhte toh machchar bhi hain main hu panchi
Do pal ki udaan se tu zyaada khil mat
Galat hai sabko ye vehm
Ki main karunga dhokebazo pe rehm
Do cheezo se darr
Dono mein teen akshar
GOD aur VDM

Mere aate hi scene mein kyu hogayi hai shaanti
Mere sir pe hai haar par main maanunga haar ni
Mujhe aate hain call kehte likhdo ek song
Bhai main free mein ni likhta
Main dilli sarkaar ni
Samjhaaya kisi ne suna ni
Dharti pe shatak
Upar khulta khaata ni
Ye rapper toh asli ke actor nikle
Main Tiger inhe apni Disha Patani
Manmaani na kar baari baari
Sabki maut hai aari
Na chaaku na aari
Tumhaari dua kaam ni aani
Jab bandook taani
Khoon bahe jaise paani
Bachkaane rappers ko karu ignore
Phatu sabpe jaise MI ka phone
Khudka likho doosre ka na padho
Khudki bhalai hai mujhse na bhido
Bada hua khaake kheto ke ganne
Maine bharni ni jeb
Maine bharne hai panne
Jharne ki tarah tera aaya downfall
Main imaarton ke upar
Jaise Bharat ke jhande
Online bete baatein bohot bolte hain
Saamne aajaun toh maafi mein haat jodte hain
Main hu kaam ka ye saare bas shor ke hain
Inke itne rang jaise pankh pe mor ke hain
Haan hum laachaar hain
Inn rappers se zyaada toh clubs mein bar hai
Bangaye star fir bhi bekaar hain
Jo toote na VDM vo deewar hai
Asli mein dum aur nakli khatam
Jab se liya hai janam sabse ann bann
Sitaaro ki chaao mein
Pala bada hu main
Mic na doge toh
Chillaake gaaun main

Janam se leke
Aankhri saans tak
Ye jeevan ek jung hai

Sansaar se
Aur apne aap se bhi

Kitne haar gaye
Kitne darke bhaag gaye

Par main tofaan mein bhi na hilne vaali chattaan hu

Main ladne ke liye taiyaar hu



Credits
Writer(s): Viraat Mudgil
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link