Ek Kahaani

Vikram Mumbai ke gareeb parivar me tha janma
Chori chakaari, ke kaaran hi tha ghar chalta
Anpad tha baap, bechaara dil ka saaf
Bas rasoi bharne ke liye karta tha paap
Samay beeta, ab Vikram ki umar 7 saal
Na likhra, na padhra, ban gaya, jeb katra
Kya karta? Maa ki tabiyat rehti thi kharab
Akele baap ki kamai se nahi le paare the dawa
Maa ki sehat hojaye theek, yahi uski khuda se ibadat thi, par
Samay ke saath chori chakaari bann gayi aadat thi
Vikram samajh gaya tha ke paise me hi taakat thi
Toh kate jeb ya gardan aati rakam usse swagat thi
Ek din doctor kehta maa ki sehat me kaafi sudhrav
Par ek-do saal me unke paer band kardenge chalna
Vikram ko hua dukh par usko tha aage badhna
Taakat ka khwaab, ek raat, vo ghar se gaya bhaag

Daaru ka nasha haalchaal bhulade
Paise ka nasha gharbaar bhulade
Par taakat? (Shit!)
Taakat ka nasha saara sansaar bhulade

Bees saal ho chuke ab Vikram ko ghar se bhaage
Underworld me uska naam, par maa-baap ki yaad kaate
Inn bees saalo me Vikram ne khada kara karobar
Maa-baap ki koi tasveer na uske paas par paas thi unki yaadein
Fir bhi Vikram ko tha upar chadhte jaana
Underworld me raaj jamana kyunki taakat tha khazaana
Mumbai ki kamaan sambhalne se usse rok raha tha bas ek naam
Vo kaun? Mumbai ka Don, Mr. Dewan
Vikram ko Mr. Dewan ka sthaan hatyaana tha
Toh vo jaake Dewan ke liye hi kaam karne laga
Kyunki Dewan ke zaroori kaamo me, usse dhoka deke hi
Vikram cheen sakta tha uska taaj
Par Dewan bade kaam sirf Vipul se karata tha
Vipul umar me chota, par sabse zyada vafadaar
Vikram ne thaanli usko leni Vipul ki jagah
Tab tak dena uska saath jaise koi saga

Daaru ka nasha haalchaal bhulade
Paise ka nasha gharbaar bhulade
Par taakat? (Shit!)
Taakat ka nasha saara sansaar bhulade

Vipul Dewan ke liye bachpan se hi kaam kar raha tha
Vipul unnees saal ka, imaandaar ladka tha
Isliye unn dono ke beech vishwaas itna tha
Vikram ne soch samajh ke Vipul ko yaar banaya tha
Vikram chupke se Vipul ko ek din le gaya ghoomne door,
Vikram ke shaatir iraade par Vipul had no clue
Achaanak, Vipul ke maathe pe taan di bandook
Vikram ne goli chalaadi, chaaro taraf koon khoon
Vo hua dukhi Vipul bhai samaan maanta tha
Par uski taakat ki bhook ka na koi tikaana tha
Dewan sochta police ne maara, din aaya antim sanskaar ka
Vaha wheelchair par ek aurat aur boodha aadmi aaya
Vikram chaka-chaund reh gaya, ye toh Vikram ke maa-baap the
Usne Dewan se poocha ye Vipul ko kaise jaante
Vipul tha unka chota beta tab usse baat samajh me aayi
Vikram ne jiski leli jaan, vo tha ussi ka bhai

Daaru ka nasha haalchaal bhulade
Paise ka nasha gharbaar bhulade
Par taakat? (Shit!)
Taakat ka nasha saara sansaar bhulade



Credits
Writer(s): Viraat Mudgil
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link