VDM - Khoj

Khoj

Ye insaan bhi kamaal ki cheez hai
Sirf pariksha ki ghadi me isse gyaan ki aavashyakta hoti hai
Ameer insaan ko bhi daan ki aavashyakta hoti hai
Koi dhoonde sahara koi dhoonde sannata
Par sirf nuksaan ki ghadi me bhagwaan ki aavashyakta hoti hai

Toh main kya karta

Khuda ka darwaza khatkhataya neeche toh dekh mare hue sab hum
Itne saalo se yaad kiya ni tujhe toh aaj madad maangne me aari sharam
Aajkal log tere darshan karne ke liye TV pe dekhte Doordarshan
Ye sab dekha ni jaara tu mujhe uthale ya fir khud neeche utar
Vo bachcha kaise le achchi shiksha jiska pita chalata rickshaw
Ameer toh tera naam lete nahi par
Gareeb tere naam pe hi maangta bhiksha
Khaer tumko kya bataun tum toh sab jaante ho
Sab tumko maante hain, tum kisko maante ho?
Apna asli vajood hume na batakar najaane tum kitno ko baant te ho
Kalyug ka manushya hai swarthi equation ki tarah ye rat ta hai aarti
Aag lagi, pyaas lagi, paani gayab
Jab zarurat nahi tab nadiyon ki bahaar thi
Bahu ko kehte hain ghar ki lakshmi
Kyunki bhent me ladki vaale bhej dahej denge
Kisika khoon behra toh uski madad na kare, khoon churake bech denge
Zinda rehne ke liye duniya bhar ki mehnat
Marne ke liye fir ek goli kyu kaafi hai?
Tum kehte ho mujhe dil se pukaaro, fir muh kyu diya hai?
Saraasar nainsaafi hai
Kya tumme bhi aa gaya takat ka ghamand?
Amarnath jaati bus ka khaayi me girkar ant
Shayad tumhe humare jeevan ki kadar ni kyunki tum khud ho amar

Achanak kaano me goonji awaaz kehti ek-ek cheez ka milega jawaab
Chaaro or ka shor sab ho gaya shaant
Mere saamne prakat hue swayam Bhagwaan
Meri rooh gayi kaamp tha unse naraaz
Fir bhi jod liye haath, aankhon me barsaat
Mere gyaan ki Khoj ab hogi samapt
Bhagwaan ne bataye iss srishti ke raaz

Toh Bhagwaan ne mere aansoon ponche, aur fir vo bole

Koi doosro ka dukh leke aaye mere paas aisi ghatna roz ni hoti
Kisi doosre ki takleef par aata hai rona toh vo aansu hote hain moti
Mere naam se badhna chahiye pyar hai
Par aaj mere naam pe chalte karobar hain
Par yaad rakhna 99 baar ho andhera toh suraj ne aana 100 baar hai
Geeto ke lyrics padhte shounk se
Kabhi Geeta ke bhi toh padho
Sachchai boht mehengi hai cheez saste logon se iski umeed na karo
Khud agar aage badhna hai toh peeche chodni padhti hain kuch cheezein
Jaise teer ko aage maarne ke liye kamaan ko kheechna padhta hai peeche
Models paet bharne ke liye bhooki rehti hain
Lagkar prayaas kar chaahe sar par pachaas karz
Bachelors ke baad aage padh sirf agar mann ho
Varna you'll become a slave to your Masters
Sab kya sochte hain, swarg me shaanti hai?
Dharti ke haal se humari bhi rooh kaampti hai
Jitni badi jeb usse bharna utna mushkil
Paet kabhi na bhare jab bhook lagi gyaan ki hai
Main niraakaar jag me aakaar se pyaar hai
Main nirbhaya sabme darr ka andhakaar hai
Mera ulta hi karna hai toh ban jaata hu paapi
Shayad tabhi ho payegi duniya me shaanti
Aur main badla ni leta mujhe ped samajh
Kyunki kaat bhi de toh banadunga ghar
Main ni kehta mujhse darr, mujhe bas yaad kar
Umar sabki badhti hai tu gyaan se badh

Toh maine poocha Khuda tere haath me insaan
Insaan ke haath me fir bandook kyu?
Tu insaan ka vajood, toh bumbaari aur barood kyu?
Rab bola "Na banayi ye cheezein, galat tumhare drishya hain
Ye paap tumne banaye, maine banaye, bas manushya hain"
Maine poocha, hey Bhagwaan kya main itna khaas,
Ki sab lete tera naam, tumne mujhko aakar diya jawaab?
Rab hasta aur kehta main nahi, tum aaye ho mere paas
Gyaan ki khan ke liye tumne kiya, apne praan ka tyaag

"Mujhe dawaa na dena, maine jaldi uthjaana"



Credits
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link