Meri Kami

Kya meri kami tumhe khalti nahin
Jese meri tanhai kabhi talti nahin
Kya jab yuhin jalta hai dil yeh mera to
Tumhe kabhi aanch bhi lagti nahin
Kya meri kami tumhe khalti nahin
Jese meri tanhai kabhi talti nahin
Kya jab yuhin jalta hai dil yeh mera to
Tumhe kabhi aanch bhi lagti nahin
Kya meri kami
Kya meri kami

Kya pyar mera tujhe kam pad gaya
Kyun saath se mere man bhar gaya
Kyun tod gaya tu dil yeh mera
Kyun mujhpe tu itna sitam kar gaya
Kya pyar mera tumhe kam pad gaya
Kyun saath se mere man bhar gaya
Kyun tod gaya tu dil yeh mera
Kyun mujhpe tu itna sitam kar gaya

Kyun tere khayalon khwabon pe
Marzi meri yaadon ki chalti nahin
Kya meri kami tumhe khalti nahin
Jese meri tanhai kabhi talti nahin
Kya jab yuhin jalta hai dil yeh mera to
Tumhe kabhi aanch bhi lagti nahin
Kya meri kami
Kya meri kami

Yeah!
Raaton ko jaag ke karte the baatein hum
Milte na zada mulkatein hoti kam
Bola tu karti thi honge juda na hum
Fir chodke jaana yun hota nahin hazam

Ha kasam tumhari mene ki har koshish
Rahein hum saath ki tumko zarurat hai
Zakham sukha ni jo khaya tumhari in
Baaton me aake jo bhooli si soorat me
Mujhko sunati thi mujhko batati thi
Bina tumhare mai bilkul adhuri hun
Gharwale acche ni yaar bhi sacche ni
Jeene ke liye bas tum hi zaruri yun

Khelne ki tumhein kya thi zarurat
Tum khulke batati to chala jaata me
Harpal tujhko hi socha na hota to
Dhyan shayad khudpe bhi laga paata me
Kaise tumhare deewano se ladta tha
Yaad kya kabhi tum karti nahin
Itna bura tha kya sach sach batana ki
Meri kami tumhe khalti nahin
Itna bura tha kya sach sach batana ki
Meri kami tumhe khalti nahin
Itna bura tha kya sach sach batana ki

Kya meri kami tumhe khalti nahin
Jese meri tanhai kabhi talti nahin
Kya jab yuhin jalta hai dil yeh mera to
Tumhe kabhi aanch bhi lagti nahin
Kya meri kami tumhe khalti nahin
Jese meri tanhai kabhi talti nahin
Kya jab yuhin jalta hai dil yeh mera to
Tumhe kabhi aanch bhi lagti nahin
Kya meri kami
Kya meri kami



Credits
Writer(s): Hemant Sharma Headshot
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link