Riwaayat

Ye nazme adhuri si hai
Lagta hai ke poori bhi hai
Main chahu ise
Mitau ise

Laga jo daam rishton pe toh log bikk gaye
Aur mujhse keh rahe tum bekhudi kyu likh rahe
Kabhi mile jo waqt jhaak lena dil me bhi
Yaha pe chehre toh sabhi ke khush hai dikh rahe

Main nachu aise jaise dhun samajh na aa rahi ho
Ye duniya jaise mere gham samajh na paa rahi ho
Agar bazar hai khula toh khud ko bech de
Ye mere ishq ki kyu tum raqam laga rahi ho

Woh aankhein shikayat kare
Lafzo me riwaayat rahe
Woh chahe badalna mujhe
Jo mere thein saaye rahe

Ye nazme adhuri si hai
Lagta hai ke poori bhi hai
Main chahu ise
Mitau ise

Kaha pata tha shamein mehkashi lagegi
Sakoon ki raate mujhko har ghadi khale gi
Khamosh hai woh log keh rahe thein mujhse jo
Ke bistaro pe neendein makhmali lage gi

Mujhe na raas aaya makhmali sa pyar woh
Mujhe lauta do mera khurdara sa khwab woh
Zameen se aasman ka ye safar khatam karo
Mita do mujhko ya ye khwaab mera sach karo

Woh aankhein shikayat kare
Lafzo me riwaayat rahe
Woh chahe badalna mujhe
Jo mere thein saaye rahe

Ye nazme adhuri si hai
Lagta hai ke poori bhi hai
Main chahu ise
Mitau ise

Yeh woh sheher hai jisme nafraton ki bastiyan
Masumiyat ka ghar toh rakh banke reh gaya
Mashalein juth ki liye khade woh har taraf
Aur sehma sach woh unki aankhon se tha bheh gaya

Main woh halaat dekh baate kuch samajh gaya hu
Haan pyari baate karke sach kahu toh thak gaya hu
Zamaana dekh jabse bigdi meri harkate hai
Khuda kasam lage hai jaise main nikhar gaya hu

Ye jo bhi sun rahe woh sirf kuch kahaniya hai
Mujhe hi hai pata ke kitni mujhme khamiya hai
Haan khole raaz mene jinme main sahi dikhu
Main jinme galt tha woh raaz phir chupa liya hai

Mujhe sudharna woh chahe deke kasme rab ki
Main khud ko maut de chuka hu jaane jaana kab ki
Ye zindagi toh cheen laya waqt se chura ke
Magar main keemate chuka raha hu guzre kal ki

Woh aankhein shikayat kare
Lafzo me riwaayat rahe
Woh chahe badalna mujhe
Jo mere thein saaye rahe

Inn raahon ka anjaam kya
Ye socha nahi bewajha
Tum do sath ya phir nahi
Hum keh jayege alvida



Credits
Writer(s): Akhil Redhu
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link