Yeh Dil - Dastaan

Yeh dil
Bhara hai dard se
Gham,iska mita do
Aafat,aayi dil pe ab mere
Toh kaise tujhko bhulaadu

Yeh Dil
Bhara hai Dard se
Gham iska mita do
Aafat ayi dil pe ab mere toh
Toh kaise tujhko bhulaadu

Yaad kar voh lamhe
Jab - jab saath tere hum the
Na tha zor koi hum pe
Aur shikwe gile bhi kam the
Dheke aasmaan hum chhat se
Jisko dekhke na thaakte
Humne maana tumko tha khuda
Aur the kiye tere sajde

Baatein yeh, meri ab kaun sunna chahega
Teri tarah, khyal kaun rakh payega
Tu bhi toh soch itna kaun seh payega
Ab yeh chehra kis ko dekh ke muskurayega

Raatein lambi lagne lagi hai
Neend nahi aati
Iss bebasi ki zindagi mein
Koi apna nahi

Raatein lambi lagne lagi hai
Neend nahi aati
Iss bebasi ki zindagi mein
Koi apna nahi

Meri aankhein hogayi hai nam
Har waqt bewafai paayi hai
Dhunde tu kyu mere jism pe zakham
Mene chot mere dil pe khayi hai
Yaadon ka,teri kuch alag asar
Aaj bhi mujhpe voh bhaari hai
Rehta, mere mann mein iss qadar
Jaane yeh kaisi khumaari hai

Yeh dil
Bhara hai dard se
Gham,iska mita do
Aafat,aayi dil pe ab mere
Toh kaise tujhko bhulaadu

Yeh Dil
Bhara hai Dard se
Gham iska mita do
Aafat aayi dil pe ab mere toh
Toh kaise tujhko bhulaadu

Ishara do koi
Main jaau ab kaha?
Na sang tere ab
Hai ghar mera raha
Pukaregi mujhe, bhi tu kabhi kahi
haqeeqatein na yeh, par mera falsafa



Credits
Writer(s): Tanzeel Khan
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link