Woh Gira (Eminem Tribute)

This is Sarmad Rao and is my tribute
To the Rap God (Eminem)
And to the best rap song in the world (Lose Yourself)

Wo saari raat jaag ke, mukhatib apne aap se
Nikal parha talaash mein, khud ki samaj mein
Ghaflat ka pehne taaj, joonj raha shankht se
Thay khwab uske kaanch ke, wo ghafil apni zaat se

Behisi andaaz mein, na rob tha awaz mein
Na tarz uske saaz mein, dhuwan har saans mein
Na koi uske paas mein, wo tha nahi hawas mein
Ek moqay ki tha aas mein, khofzada woh haar se

4.30 raat ke aur qalam uske haath mein
Talkhi thi mizaaj mein, aag thi alfaz mein
Utaardiye safay pe usne jitne jazbaat thay

Saawal tou hazaar thay per likhte haath kaampte
Jung mein tha halaat se, samaj ke riwaj
Thay khwab uske parvaaz ke, per aa khara zawal pe
Woh rehta intezaar mein par koi na jawab de

Bas woh, uska wajood aur khuda uske saath mein
Woh gira, woh utha, woh larkharake phir gira
Woh phir utha, das dafa, saath uske sirf khuda
Woh aag banke jal gaya, wo sham banke dhal gaya

Ek khwab jaise mar gaya, hasrat ka jaam bhargaya
Ek Raaz banke chup gaya, sawal banke reh gaya
Woh zulm kitne seh gaya, zameer bhi chup reh gaya
Zamanay ki daur mein bohat wo peechay reh gaya

Nafrat ki aag mein jalke ghaflat k aab mein beh gaya
Log kehte rahe usay kuch toh aqal kar
Chalna sambhal kar, khud ko badal kar
Adal kar, amal kar sabki naqal kar

Muashray ke khatir thora khud ko qatal kar
Duniya ki haqeeqat usay dikhne lagi saaf
Log huwe be naqaab, nafrat behisaab
Sab paise k naam pe, bechte emaan

Sab daulat k ghulaam, ban gaye haiwaan
Dikhe har insaan k do chehray
Dil pe shaitaan k hon pehray
Jaise dimagh se hon thehray

Yeh sab ik khwab mein hon reh rahe
In sabke kaan hon behray
Kya kuch zabaan se yeh keh rahe
Inke alfaaz na hon gehray

Sab be hawaas sab kuch seh rahe
Jab dekha apna aqs, anjaan koi shaks
Yeh duniya karti raqs, be kabu sabke nafs
Sab achai ka dete dars, par kisi ko na gharz

Ab hogya uspe farz, sab utar diye usne lafz
Woh gira, woh utha, woh larkharake phir gira
Woh phir utha, das dafa, saath uske sirf khuda
Woh aag banke jal gaya, wo sham banke dhal gaya

Ek khwab jaise mar gaya, hasrat ka jaam bhar gaya
Ek raaz banke chup gaya, sawal banke reh gaya
Woh zulm kitne seh gaya, zameer bhi chup reh gaya
Zamanay bohat wo peechay reh gaya

Nafrat ki aag mein jalke wo ghaflat k aab mein beh gaya
Bas itna uska khwab tha, hona chahta azaad tha
Karna apna naam tha, par sach se hota saamna

Iss baat se anjaan tha, k ban raha ik haiwaan tha
Par kaise khud ko thaam ta, choona aasman tha
Par iska uncha daam tha, wo tha yeh baat janta
Likhta subha sham tha, par na milta inaam tha

Deta khud ko ilzaam tha, wo rehta himaat haarta
Ek shaks ne kiya raabta, diya usko paigham tha
Barhne k junoon mein, kardiya safaid khoon tha
Woh betha siyaah room mein, stage pe jana soon tha

Woh khara stage per, saamne logon ka hujoom tha
Har koi dikhe jhoomta, aasman bhi ghoomta
Har banda hath choomta, wo rehta khud ko dhoondta
Usay hogya maloom tha, milta nahi sukoon tha

Woh dhokay jhoot ka, pee raha karwa ghoont tha
Sir pe sawar bhoot tha, wo andar se tha toot ta.
Woh gira, woh utha, woh larkharake phir gira
Woh phir utha, das dafa, saath uske sirf khuda

Woh aag banke jal gaya, wo sham banke dhal gaya
Ek khwab jaise mar gaya, hasrat ka jaam bhar gaya
Ek raaz banke chup gaya, sawal banke reh gaya
Woh zulm kitne seh gaya, zameer bhi chup reh gaya
Zamanay bohat wo peechay reh gaya
Nafrat ki aag mein jalke wo ghaflat k aab mein beh gaya

You better, lose yourself in the music, the moment, you own it
You better never let go
You only get one chance, do not miss you chance to blow

This oppurtunity comes once in a lifetime
You better, lose yourself in the music,
the moment, you own it, you better never let it go

You only get one chance, do not miss you chance to blow
This oppurtunity comes once in a lifetime



Credits
Writer(s): Sarmad Rao
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link