Pinjra

Tor do salaakhein
Qaidi ko choro
Pinjray me band hai
Taalay to kholo
Kon gawaah hai?
Kis ki anaa hai?
Rehna yahan nai
Jaana gunaah hai
Kon gawaah hai?
Kis ki anaa hai?
Rehna yahan nai
Jaana kahan hai?
Tor do salaakhein
Qaidi ko choro
Pinjray me band hai
Taalay to kholoooo
Hooooo
(hooooo hooooo)
(music)

Tere saaray aansuon ki
Rakh rahe nishaani baadlon me

Nazreen mulaahiza farmaen
Mere zehen ki majlis me tashreef laen
Mera sabar idhar chala hua aakhir ki jaanib
Me kefr e kirdaar pe aur qaatil ye gaane
Mera chaand ab bhi girhano se ghiraa hua shaayad
Wo qaazi ke saamne mukkar gaya shaahid
Jo apne hi lafzon pe phir jaata wo qaahir
Ki rooh ko phir jism se hi aane do na baahir
Me hathon me khanjar liye seene me ghonp dun
Kalaa libaas jese moat ka me roop hun
Sawaalat bohot khud jawabon ki taalash me
Hawaalat roz
Gunaah saare indaraaj me
Me to koi rehnuma nahi kese teri tarjumani karun?
Choti ye nigaah nahi to phir kese nagahaani banu?
Har aik honi unhoni ke paar utra
Har aik khuwahish ko me seene me hi maar chuka
Raakh utha saath lutta
Yaar kahan gaye tere?
Bhaag chuka, waqt ruka
Wehem khaa gaye terey
Kon gaya kya bacha
Rehem kahan gaye tere?
Kya wajah? kya gunah?
Zulm bhaa gaye tujhe
Tere aur mere beech farq itna waazeh
Me lar raha hun jinke liye tu unke hi mukhaalif
Me raazi nai, hasid nai, qazi nahi, wajib nai
Saadiq nahi, raaqib nahi raaghib hun, haazir
Me rehbar, tu raahzan, me jaabir, tu qaahir
Wo azaan e bismil, me rehnuma e aakhir to chal
Tere wehmo o gumaan ka me kardun qattal
(music)

Kon gawaah hai?
Kisiki anaa hai?
Rehna yahan nai
Jaana gunaah hai
Kon gawaah hai?
Kisiki anaa hai?
Rehna yahan nai
Jaana kahan hai?
Tor do salaakhein
Qaidi ko choro
Pinjray me band hai
Taalay to kholo
Hooooo
(hooooo hooooo)



Credits
Writer(s): Sunny Khan Durrani
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link