Khanabadosh

Oh Khanabadosh
Kaha Madhosh
Thode se Dushman
Par kaafi hai Dost

Oh Khanabadosh
Kaha Madhosh
Thode se Dushman
Par kaafi hai Dost

Jinko nahi jaanta mai janta wo bhi jaanti
Maine hai jabaan di laana chahta kraanti
Pados wali aunty shayad achha nahi maanti
Din bhar chalta music launda rakhta nahi shaanti

Mere ander bhawnao ki jo khan thi
Mai nahi hu Johri fir bhi uski pehchaan thi
Thulle aake puchhe jeb mai kitne tere gandhi
Kaise tologe paiso se mai nahi hu chandi

Aisi kuch cheeze jo aati nahi paise se
Jeet leta hu mai dil shayar hu peshe se
Raaste mai mile log kaise se
Fir bhi safargar ko na koi hai Ranjishe

Oh Khanabadosh
Kaha Madhosh
Thode se Dushman
Par kaafi hai Dost

Oh Khanabadosh
Kaha Madhosh
Thode se Dushman
Par kaafi hai Dost

Akele safar mai par mehsoos hoti nahi tanhaai
Kyuki ghar pe hai na mera bada bhai
Jab bhi dikkate hai jeewan mai aayi
Wo khada raha hamesha ban ke meri parchhayi

Pichhli baar jab ghar se li thi maine vidaayi
Apni aayi ko kuch aap beeti maine sunaayi
Sun ke safar ki kahani uski aankhe bhar aayi
Garv hai usko ki mai ab bhi kr rha hu try

Maine bola tension naa le ab tu maa
Ab to shuru hua hai. badhna samaan
Hote dekhegi tu naam se. bheede jama'n
Dekho aa gya toofan aisa keh rhi hawa

Oh Khanabadosh
Kaha Madhosh
Thode se Dushman
Par kaafi hai Dost

Oh Khanabadosh
Kaha Madhosh
Thode se Dushman
Par kaafi hai Dost



Credits
Writer(s): Mukesh Pathak
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link