Pardesi Aaya Des Mein

Pardesee aayaa des mein, des se mere gaanv mein
Gaanv se meri gali mein, gali se mere ghar mein
Ghar se, ghar se, ghar se
Ghar se mere dil mein

Ab dil se jaane ka naam naa le
Ooi, maan main ka karoon?
Besaram, saram se jaraa kaam naa le
Main sarmaati firoon

Pardesee aayaa des mein, des se mere gaanv mein
Gaanv se meri gali mein, gali se mere ghar mein
Ghar se mere dil mein

Ab dil se jaane ka naam naa le
Ooi, maan main ka karoon?
Ho, besaram, saram se zaraa kaam naa le
Main sarmaati firoon
Pardesee aayaa des mein...

Aa ke mere dwaare pe, haay re, bade mauke se
Bedard, beimaan, beqadar ne dhokhe se
Bedard, beimaan, beqadar ne dhokhe se
Jhaank liya tan-man mein palkon ke jharokhe se

Ab saiyaan, baiyaan kaheen thaam naa le
Ooi, maan main ka karoon?
Ho, besaram, saram se jaraa kaam naa le
Main sarmaati firoon
Pardesee aayaa des mein...

Kaise badal saktaa hai bhagya ka jo lekha hai?
Julmi ke maathe pe aisee koyi rekha hai
Julmi ke maathe pe aisee koyi rekha hai
Aisa lage jaise pehle bhee kaheen dekha hai

Dil tadpe binaa aaraam naa le
Ooi, maan main ka karoon?
Ho, besaram, saram se jaraa kaam naa le
Main sarmaati firoon

Pardesee aayaa des mein...
Gaanv mein, gali mein, ghar mein, dil mein



Credits
Writer(s): Anand Bakshi, Kudalkar Laxmikant, Pyarelal Ramprasad Sharma
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link