Asal Kahani

Mangi dua, Dua mili par mafi nahi
Mangi mafi, mafi dene voh razi nahi
Andhera yaha, Ujale me koi sathi nahi
Aap bhi sahi, Mila jo muje kafi nahi

Juthe vade kabhi bante voh raz nahi
Khud Khudaar nahi khuddari ki jo bate kahi
Kuch bhi nahi asal me ye sab kuch bhi nahi
Bewafa tha me kya tu bhi bewafa thi nahi

Sage mere jo kabhi mere sage nahi
Badle jate najane raat me rishte kahi
Asaliyat asal me tumhe na malum
Farzi waqt asal me tumko kya malum

Tu bhi nach zindagi abhi aadhi hai
Take the card you're invited uski shadi mein
Channa mereya marham lagane aana bhai
Juth tu bol de Dilko ab bahana bhai

Janu me tere bare mein
Asal zindagi ek kahani mein
Na mili maut to mein kaha

Sochu tere bare mein
Zindagi khud hi guzar le
That's the kind of thought I get

Bada tha bhram ke pyar mein kya sharam bhai
Chote the hum samaj na paye tere karam
Asali baat jo asal nahi voh nakli baat
Nakli raat jo thame hath voh nakli haath

Vese yeh baat kese batau me uska sath
Mila jo nahi Mila jo kahi mila jo yahi voh asali nahi
Masali gai zindagi ab agali nahi
Badali gai kahani kahi
Tuta dil par khade hum yahi

Hum yahi Zakham Kam nahi
Badle hum nahi badle sab par hum vahi
Mein kahi afsurda khada kahi
Tu bhi dekh agar dilgeer to tu bhi dekh

Me to yaha muhibo ka aalim hu
Kimat-e-mohhobat na janu me to jahil hu
Rakhdi baat aur mani mene zakhmi har
Tu bhi yarr payega maut tu bhi yarr

Janu me tere bare mein
Asal zindagi ek kahani mein
Na mili maut to mein kaha

Sochu tere bare mein
Zindagi khud hi guzar le
That's the kind of thought I get

Janu me tere bare mein
Asal zindagi ek kahani mein
Na mili maut to mein kaha

Sochu tere bare mein
Zindagi khud hi guzar le
That's the kind of thought I get



Credits
Writer(s): Perry Venus
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link