Agar Mai Dooba

Agar mai dooba
Kyaa aake bachaoge?
Kiye the waade jo kya tum nibhaoge
Shayar se puchoo tum keemat inn lufzo ki
Tumhara kya tum phir se chale jaoge

Toota hu kitna meri aakhoo me kabi dekh jana
Khudse bhi ladke mai karu tujhpe yakeen jana
Hai mujhko malum ke tune bhi chale jana hai
Par umeed pe hi zinda hu toh kese na phir azmaau jana
Bas chale duniya ka toh tohmato se mar de
Judge karey mujhe inke narzo ye gawahi de
Mai kala aur zimeedari ki zanjeero me pasha hua
Jo nasha aake thame wahi karta barbaad hai
Toh dhudu kisi bahoon me jaake panha bol
Ghar se na mila tabi bahar aake dhudna dost
Rishte ye tikke saarey shewato ki neev pe
Rooh me jo jhako toh dikhe kitni takleef mei mai
Aaj hu mai kal shayad raahu na
Hadd hoti sehne ki mai kabtak ese jiyunga
Par ese marunga toh duniya kayar kahegi
Mujhe fikar ye kya sochenge toh chuppi thame hasunga
Anginaat cheeze joki tere darr se kari ni
Toh himaat ho banti karne ki toh jebe khali paise ni
Mai ghar ka bojh leke chura leke peetho pe
Chala tha kaape ghutno pe ye kehte kuch ni kiya mai?
Karu qabool shayad utni mehnat kari ni
Par itna bhi kar sakunga thi khudse ye umeed ni
Khudse jeeta bhale teri narzo me hara hu
Chati thoke bolu sab kuch apne dam pe paya hu

Mai shayad aaj khudko hi maar du
Tere saath aur apne khilaaf hu
Tere hissey ka bojha bhi laad lu
Mere hissey ki khushiya lee aaj tu

Agar mai dooba
Kyaa aake bachaoge?
Kiye the waade jo kya tum nibhaoge
Shayar se puchoo tum keemat inn lufzo ki
Tumhara kya tum phir se chale jaoge

Waqt laga mujhe khudko yaha thamne ne
Galtiya meri firb maa ke mere daam lage
Ye fans kehke meri maa ko randi keh dete
Aur maa ki mamta meri usse janwar insaan lage
Tu kese judge karey jab tu mere saath ni tha
Aaj first class pehle iss ladke pe class ni tha
Ye toh bas keh dete ki khandani paisa
Maine haath se piya hai paani kyuk ghar pe glass ni tha
Baap ke hi jootey pehne bhai kabi mai bhi
Kabi paisa hi ni manga maa se kyuk pata hai ni
Jese sham dhale raat me
Aur charo khane bethte
Phir aatho aakhe nam kyuk pata khana hai ni
Ese jaanleva waqt hamne boht sahe hai
Phir b baap bola beto se ham boht sahi hai
Ek raat haath blade ko mai ghur rha tha
Meri maa boli raja beta tutna ni hai aaj
Kaafi fans lage peeche hai
Mai itni upar aagaya maa kyu dekhu neeche
Jo haal tera aaj tere khudke nateeje
Ham galtiyo se seekhke paseeno se b bheege
Mene dard dala game me toh pyaar diya game ne
Ek middle class boy ka hai sharukh wala fanbase
Mene dard dala game me toh pyaar diya game ne
Ek middle class boy ka hai sharukh wala fanbase
I'm out maa

Agar mai dooba toh kya bachaoge
Kiye the waade ji kya nibhaoge
Shayar se pucho tum keemat in lufzo ki
Tumhara kya tum phirse chale jaoge



Credits
Writer(s): Suchita Thapa
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link