Kisse Ka Afsana

yeah
.d.m.r. kya

khilone puche kaisa laga log tere saath jab khelte hai
farmaish puche kaisa laga jab log aur waqt badalte hai
kaanch puche kaisa laga jab rishte toot bikharte hai
aur aag puche kaisa laga jab jale pe log saekte hai

waade kiye the jaana tumne kuch mujhse
main toh khada yahi jaana tum kaha gaye chup se
paas itne hoke bhi na dekhe dono door se
saaya raha jal ab tere yaadon ke is dhup se

zameen ki zameer par kyu kaata gaada tumne
aankhein meri nam aur aansu dil me chubte
chalo maana galti meri par kya sahi tum the
pyaar ko bhi bech khaya tune har sulukh me (kyu)

andhero ki roshni me sama raha ashiq awaara ye
aansu bhare phefdo me chahta hu dafnana me
jata raha aj bhi haq tujhpe sir rakhke sir aane pe
kyonki aansu piye maine na kisi zamaane ne

janejaana main sarphira bewafa nahi
mashuqa main laparwah beparwah nahi
main gumshuda na phool chuba aur tu bhi de sazaa nahi
main gumchuka ulajhra noorjaal me phasa kahi

slip hua tere pyaar waale jaal me
ibaadat kar raha hu ke jald mile hum is mazaar pe
jaan bani yaa bani tu meri mirage ek
bahar hori baarish aur main jala sareaam bae

dil bebas aur tu hai laal wine (aye)
tu pyaari syllabels main phonetically rhymed
toh akele ab is kamre me kyu chor gayi mujhe
aja wapas ya dede mujhe forever for a while

dafnaakar betha hu main khudko yaadon ke kabr me (brr)
mile hume dard toh hum hi khudke humdard hai
dil pehle se banjar hai aur pyaar raste ka kankad hai
life meri maut kyonki wahi asli manzar hai

banjar ye zameer zameen pe khuda khoke
ankhon me na neend kash lafz bus gala ghote
ankhon me na neend kash lafz bus gala ghote
khandak ye faqeer sateek maut ke salaakhon me

log bole mantri pehle wala funny banda nahi raha
main bolu main zinda hu ye zara sa bhi kaaqfi nahi kya?
yaad me bana main uske mohammed rafi ji sa
rapper hu main sick bus chaiye wo kyonki wo remedy sa

henessy sa paraceta (mol) hai woh meri senorita
enemy sa bada feeka zindagi ab veronica
shareer me hai aag aur ye dil kerosene sa
pranab ki khatam saans aur mantri hai ab dishaheen sa

nakchadi ye zindagi bin bandagi ye sar chadi
harghadi hai kankad hi ye banjar thi phir matlabi
qafan pehnaake usne badla saara manzar hi
zara bhi na saksham main kharab hai har lakshan hi

ap humaare aansuon me behne lage
aam khaa rahe ho toh gutlio ke kyo na sage
chaand taare todne ki aukaat nahi hai meri
par yaha jannat ka sama dena toh haath me hai mere

shayad zindagi ke safar me pyaar ab ek bumper hai
uthaaye tujhe jo upar aur pheke jhat se is daldal me
harpal main rehta aankhon ke nashe me tere
ab nashe me naa le paaye jaam bhi betha thak haarke

sansaar me na mil raha pyaar har kisiko
akele aane jaane ki isilie hai reet bro
andhaa sala pyaar aur main bhi hua baadme
amrit ke haathon se piya vish maine is bazaar me

pyaar bepanah ab bhi jaana
yaadon ke bazaar me khada aur hase zamana
(kisse ka afsana) batana kya tu ayegi mujhse milne?
kisse ka afsana

pyaar bepanah ab bhi jaana (kisse ka afsana)
yaadon ke bazaar me khada aur hase zamana
batana kya tu ayegi mujhse milne? (kisse ka afsana)
kya tu ayegi mujhse milne?

kya tu ayegi mujhse milne? (ha)
ya banunga main
kya tu ayegi mujhse milne?
ya banunga main kisse ka afsana



Credits
Writer(s): Dmr
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link