Takdeer

Taqdeer hai aashiq ki jaisay toofan mein Karachi ki
Zakhm barhtay jaisay naalon mein khoon aur paani bhi
Kaisay bataoun zindagi ki mein philosophy
Khud mein dhoondhoon apnay main apni saadgi

In silsalon mein jaltay saaray kehkeshaan, yeh
In faasalon mein toot'tay taaray beshumaar, yeah
Is bandagi se jo umeed thi bhooli baatein
Is zindagi se jo kareeb woh lut'tay jaatay

Bus ab yehi dua
Guzray yeh lamha
Na hun main tanha
Bus ab yehi dua
Chahta hun Panaa
Toroon yeh anaa
Kyun ke

Taqdeer hai aashiq ki jaisay aandhi mein aik basti ki
Jaanoo ki aye shaamat bijli garjay hansti wi
Kaisay bataoun kehta hun sab main so honestly
Bechain chahta hun thori si sympathy

Bus ab yehi dua
K tu meray paas
Aur tu meray saath
Bus ab yehi dua
K tu meray paas
Aur tu meray saath

Bus ab yehi dua
Guzray yeh lamha
Na hun main tanha
Bus ab yehi dua
Chahta hun Panaa
Toroon yeh anaa

Kaisi, Humari
Udaasi, Barhi hai
Hum ab, Hum se
Jurray hi, Nahi hain
Daulat aur Shaurat
In sab ki kami hai
Hanstay chehray par
Ankhon mein nami hai

Bus ab yehi dua
Guzray ye ... yeah
Na hoon main tanha
Bus ab yehi dua



Credits
Writer(s): Taha Gurwara
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link