Fati Parchi

Mili pitaji se ek scooter bus wohi kaafi thi,
Sawaari teen thi seat do ki jab vo naapi thi
Khali sadak pe milte kutte aur police the
Hawaaon jaise khushi chhuke hume jaati thi
Fati parchi toh musibaton ka pahaad tha,
Jode chillar sabke toh pachaas ka jugaad tha,
Ghaate mein jaata apna chai-pani-nashta,
Pitaji ko na batana
Jeene ki zaruratein kam sahi
Apne mein zindagi hain sahi,
Jeene ke liye
Ye zindagi yede faislon ka khel hain
Ye zindagi na pass na fail hain
Ye zindagi... Na na na na na haaaaan

Gadhe the hum pehne sher ki vo khaal thi
Kati patang jaisi apni vo chaal thi,
Samjhaate sab phir bohut humko peette,
Na samajhte the kuch phir bhi hum toh dheet the

Nukkad se nikli nukkad pe wapas vo aati thi,
Puncture tyre wali vo apni sawaari thi,
Alfaaz padhke koi logo ke koi panno ke,
Sawaari wahi par galiyaan niraali thi
Duniya ghumne ka apna toh khwaab tha,
Tel pe chalti hui scooter ka hisaab tha,
Thodi si duty thodi koshishein bawaal kar,
Wapas ghar hi hain aana
Jeene ki zaruratein kam sahi
Apne mein zindagi hain sahi,
Jeene ke liye
Ye zindagi yede faislon ka khel hain
Ye zindagi na pass na fail hain
Ye zindagi... Na na na na na haaaan

Jeene ki zaruratein kam sahi
Apne mein zindagi hain sahi,
Jeene ki zaruratein kam sahi
Apne mein zindagi hain sahi,

Ye zindagi yede faislon ka khel hain
Ye zindagi na pass na fail hain
Ye zindagi... Na na na na na... haaaaaan

Na na na na na... sawari teen thi seat,
Do ki jab vo naapi thi
Khali sadak pe milte-
Hawaaon jaise khushi



Credits
Writer(s): Aditya Kambhampati, Aditya Karhadkar
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link