Gulmohar (feat. Alistair Fernandes)

Main hoon ya phir hoon nahi bhi
Kho jau toh khushbaseebi
Kya chah raha hoon zindagi se
Dil-dimaag dono farebi
Ankahi khwaab sa, Gulmohar
Ansuni baat sa, Gulmohar
Naye sawere sa dhalta hain phir jalta hain jo jalta hain

Kuch arsein nigal gaya, muda nahi par jhuk gaya
Bhool gaya main ghul gaya
Baazi mein uljha uljha
Toh kya hua agar dhal gaya,vo chaand sa pighal gaya
Hain abhi mujh mein zinda
Masoom sa qaafila
Jo jalta hain bus jalta hain

Jhool raha tha bachpan maateele haathon mein
Do rupiye ke sikke jitni thi khwahishein
Jhool raha tha jhoom raha tha
Jamun, kache aam, shaitoot ka khazana main dhundh raha tha

Nani ki loriyon sa, Gulmohar
Unki kahaniyon sa, Gulmohar
Naye sawere sa dhalta hain phir jalta hain jo jalta hain

Kuch arsein nigal gaya, muda nahi par jhuk gaya
Bhool gaya main ghul gaya
Baazi mein uljha uljha
Toh kya hua agar dhal gaya,vo chaand sa pighal gaya
Hain abhi mujh mein zinda
Masoom sa qaafila
Jo jalta hain bus jalta hain
Jalta hain bus jalta hain
Jalta hain bus jalta hain



Credits
Writer(s): Aditya Kambhampati, Shifa Shabnam
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link