Gumaan

क्या सितम है कि अब तिरी सूरत
ग़ौर करने पे याद आती है
कौन इस घर की देख-भाल करे
रोज़ इक चीज़ टूट जाती है

Baat karu mein
Apne aap se
Glass todu me
Is saaz se
Jaam bharu me
Teri yaad se
Baat karu mein
Bas apne aap se

Mujhe sun
Baatein kehni hai tujhse
Thoda sun
Shaamein thehri jo mujhme
Muntazir hai gum

Afsunn nigaahein
Meri baat na maane
Dhunde tujhko hi chahe
Ba-dastoor iraade

Ab jayaz hi hai ye
Gamm ke jo taraane

Dil mere me nikle
Ye gehre hai chhaale

Baat kar to sahi
Ahh bhar to sahi

Tujhe milne jab aaya
Rukh kar to sahi

Baatein chalri thi tab jo
Sab khwabeeda rahi

Na kar to sahi
Are na kar to sahi

Haan karti nahi
Pabandhi rahi

Jind beeti hai meri
In yaado me kahi

Chup tha mein teri yaado me
Bola jab ikhtifaas se

Ik baat jo sabme hoti hi hai
Wo jo baat thi tujhme wo baat hi kya hai

Jhoomu shaamo me
Meri rooh ab iztiraar si hai

Sailaab hai
Mein dooba tha jisme gham ka talaab hi hai

Are jaane jahan
Dil naks jahaan
Ae Jaane mann
Meri aawaaz sun
Tujhe abhi bhoola nahi

Ae saaki mere abhi pee hi kaha
Abhi mein jhoola nahi

Tujhe abhi bhoola nahi



Credits
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link