Victor

Wo khubiyon ki maalik hai
Mai khaamiyon ka kaarigar
Maaniyo na baat hai
Kahaniyan ye be asar

Wo khubiyon ki maalik hai
Mai khamiyon ka karigar
Maaniyo na baat hai
Kahaniyan ye be asar
Hai nazm ye bhi be adab
To likhne baitha kyun hi fir
Maaniyo na baat
Hai kahaniyon ka kya sabak
Jo baitha asmaan ke Neeche
Taare bole chal bata
Tu Dar pe aata kyu hamare
Khwahishein na hai saza

Wo Chup hi baitha rehta
Jab sunaya maine apna raaz
Rote dekha nhi hai par
Ab ansu barse kitni shaam

Hai likhta kitna wo
Kya ungliyon ko kaat deta
Kya kehta apne aap se
Kya dard hi baat leta
Kamre se nikal ke
Pehle jaise hona chahta tha wo
Jaane kya hi darr tha uska
Kamre me hi rehta

Mai uske jaisa nahi hun
Mai thoda theek hun
Mai aapse haske milta
Mai baat kehta theek hun
Likhta hun kabhi kabhaar
Abhi to yaar mai sheshe ke saamne
Karta hu khud hi se baat
Shakal hai wahi bas rooh pe daag hai

Aap ki guzarishon me doobke
Gulab ye mayus bhi ab khilne se ruth gaye
Kal aap bhi to parda nashin hi humein jhankte
Ab jaam pe ho baat to ye baat aayi laut ke
Wo puche haal mera
Jaanti hi nahi yaad
Sahil ki aab aati victor jaanta hi nahi
Malal karna hi kyun
Kyun waqt ko hum chedein
Maine nazm hi di likh
Sharmsaar kya karein

Khuli kitaab nhi mai
Ek hi panna kaafi hun
Zehen ye na samajh sa
Leke banna kaabil yun
Subah o sham aankh gadake tmne padh lia
Kya hai samajh me aaya
Jisko mante the kaamil tum

Rehna ghaafil na jab baat hoti mehfilon me
Naam aaye mera bhejna dua ye naam leke
Khilaaf e qaida zameer le sambhal tu
Hai kis ghadi ka intezaar kya dafn ye awaaz ho

Khubiyon ki maalik hai
Dafn ye awaz ho
Mai khaamiyon ka kaarigar
Dafn Ye Awwaz ho
Maaniyo na baat hai
Kahaniyan ye be asar

Wo khubiyon ki maalik hai
Mai khaamiyon ka kaarigar
Maaniyo na baat hai
Kahaniyan ye be asar
Hai nazm ye bhi be adab
To likhne baitha kyun hi fir
Maaniyo na baat
Hai kahaniyon ka kya sabak



Credits
Writer(s): Mohd Sahil
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link