Guroor

Aadmi ki aukaat se badh kar
Uske dabe hue khwaab chupe andar
Sab luta dega woh iss jhoothe junoon mein
Iss jhoothe junoon mein
Yahi aadmi ka guroor hai
Yahi aadmi ka guroor

Pata hai aadat aur chaahat mein kya farak hai?
Ek ki kami mehsoos hoti
Doosre ki talab hai
Ek ko paane ka junoon
Doosre ki khwaahish
Khudse kehkar jhooth
Pooche guroor ki farmaaish
Majboor insaan baandhe anginat khwaab
Jab khwaab na ho poore kare anginat baat
Baaton mein jhalakti uski kapati saadhgi
Sab chod gaye saath
Guroor leke chalta aaj bhi

Gale mein dhuaan aur uske kaale rang ki saans
Baal safed par junoon ki phir bhi talaash
Soche woh samajh paate unkahe alfaaz
Taaki samjhe jazbaat jab sirf woh reh laash

Samjhaao matt mujhe
Mai maan jaaunga
Apne aansoon ek baar phir dabaaunga
Wafadaar hai mere aksh ya dhokhebaaz?
Yeh duniya ko samajhte hue bhi nahi aate baahar

Gum ki baat
Gum bhi gawaa chuka hoon mai
Aadhi raat pooche woh sawaal
Bataaun kaise?
Bataaun kaise ki ab saare gum manaa liye
Khushi ko ab bulaaun kaise?

Aadmi ki aukaat
Majboor insaan baandhe khwaab
Jab khwaab na ho poore kare anginat baat
Karega woh kab khud par vishvaas?



Credits
Writer(s): Sommaiya Angrish
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link