Safed Jhoot

Gumnaam hai ye safar
Raastey ajeeb hain
Bekhayaal sa ye pal
Safed jhoot me bandhe

Numaish ka tha jorr bandisho ki chaud thi
Bola tha na sach zindagi kuch aur thi
Jaane kya tha jal gya gehra sa jo dhua tha
Rakh hua sach baat khatam us daur ki
Jaane kya wo pal they miti kaise yaadein
Ye bhi to hai yaad nhi keval afwahein
Khatam us kahani ki huyi saari baatein
Marr gye farishtey jo bhi mere saath they
Gale me jeher kaise piyu mai shiv nhi
Khuli meri aankh pr rha kuch dikh nhi
Kaafi saare aaye gaye sabd bahaaye gye
Ego nhi mujh mein par paaya koi tik nhi
Nikle dagabaaz to mere apne kon se they
Bholi bhaali bhaasha mein safed jhoot bolte they
Kehte saare saath denge dosti ki daat denge
Baat band karne ke raaste kyu khojte they
Lo
Suno yaaro dhyaan se
Chalti hai zindagi yaha diye huye gyaan se
Kaam jee jaan se kamaaye huye pyaar se
Ya fir kaam chori sirf wo jo nhi maante
Kehte khud ko rapper daale copy karke shayari
Fake followers saare manega koi shayad hi
Kehte meri struggle dekho apne paas time nhi
Likhte hain wo bars jab karta kuch bhi rhyme nhi
Gandagi dimaag mein aur kaam me safaai nhi
Tere ice-cold mere thode fiery
Aaye huye din nhi kehte khud ko legacy aur
Baat ye hai sach ki maine khud banayi nhi
Hota hai savera to tera kyu dalta hai
Mujhe kuch milta hai, tujhe kyu khalta hai
Maangte bhagwaan se tum mai nhi fark yehi
I'm not an atheist per kabhi kabhi chalta hai

Gumnaam hai ye safar
Raastey ajeeb hain
Bekhayal sa ye pal
Safed jhoot me bandhe

Zoltar Dak on the beat



Credits
Writer(s): Zoltar Dak
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link