Tootay Taaray

Tou mujhko he bhulady
Tou ik nai saza dy
Ham bikhray, tootay, haaray
Ham jesay tootay taaray
Tou mujhko he bhulady
Tou ik nai saza dy
Ham bikhray, tootay, haaray
Ham jesay tootay taaray

Main rait ke makano maain basta tha
Le gayi ye aandhi un chaaron diwaar ko
Woh bikhar gaye sapne aur khwaab is fizaa maain
Phir kiu aaj bhi thehre wahan ho
Hum galtian kia kar jayen maafi bhi na mile
To faida safaiyo ka kia ho
Is hawa men khushbu aye zindagi ki to umeed ko waapis phir yaha lao
Shayad bhatak ke bhi kahi thikana hi mil jaye
Is dard ki aaj na dawa lao
Hum seekhenge galtio se beshak jitne bhi hum khud se rahe bewafa ho
Hum galat hi sai
Hum bewafa sai
Par bolo kia hum tere na ho?
Ye dard bhi sai
Ye khaamoshi sai
Bus yaaden ye aaj bhi saza ho

Tujhse dil lagi
Khud se rahi nai
Ab udaasi bus saath ho
Duniya matlabi
Samjhe bus tu hi
Aati neenden nai raat ko
Pooche tu nahi haal wo
Tha ek waqt jo aaj na ho
Thehre hum kabhi na ho
Toote aise main kia kahu
Tujhse ye judai chor gayi hum ko

Tou mujhko he bhulady
Tou ik nai saza dy
Ham bikhray, tootay, haaray
Ham jesay tootay taaray
Tou mujhko he bhulady
Tou ik nai saza dy
Ham bikhray, tootay, haaray
Ham jesay tootay taaray

Tere intezar mein raaten kati
Tere intezar mein din yeh dhalay
Par tu aye na tu kiun befiqar
Tum na ho kay bhi mere dil mein rahay
Sunaye na kissay jo baaki
Giraye Jo hissay hain baaki
Is Dil ke
Tum mujhay samajh na sakay kiun mil ke
Tum hi subha banay mere har din ke
Tum hi dawa banay ho dard ke
Juda tu khudko mujhsay karde
Hum ab bhi kiun kharay hain darr pe
Mere ashq baadlon se barsain
Hum ghar ki raahon pe bhatkay
Hum jee rahay hain ab darr ke
Dil ki weraan lagain ye sarkain
Tu phirse dil ko mere bharde
Hum bikhre tootay haaray
Phir bhi tumko pukaaren
Hum bethe ginte taaray
Sab kuch hum tum pe waarain
Hum bikhre tootay haaray
Hum ko tu phir bhula de
Rahay na tum hamaray
Hum muntazir tumhare

Ab wesay bhe ni waaray
Teray jhootay laaray
Koi na ab pukaaray
Dikhtay nhen kinaaray
Ab wesay bhe ni waaray
Teray jhootay laaray
Koi na ab pukaaray
Dikhtay nhen kinaaray
Agar dil bhe nikaal k rakhdaain saamnay
Tum phir bhe jaogy kisi dhalti shaam maain
Kon hoon maain, kya manzil meri?
Saaqi bhula diya teray jaam nay
Saaqi rula diya teray jaam nay
Mujhay milta sukoon tha teray naam sy
Tum he badal rahay meray saamnay
Tum he khalal rahay meri saans maain
Dil bana tootnay k liye bas
Wo moqa dhoondhay roothnay k liye bas
Khair, ham tootnay py rhay has
Phool hai kitaab maain, sookhnay k liye bas
Jinhain kaha dard ki dawa
Wahe kargaye mera sar tann sy judah
Daikh k ayena be saakhta kehta
Ap ki khair hai sirf unsay khafa
Maitay rabb dee mehr ae, minnu ni parwah
Hovey sab dee khair, meri rab toun dua
Koi na mera, meray rabb k siwa
Jabsay lota wo, murrkay musafir
Kyun andheray, hoi jabkay subah
Daikh saka na main toun rukh bhe yaar ka
Dard ye dil maain meray phir kyun hua?

Tou mujhko he bhulady
Tou ik nai saza dy
Ham bikhray, tootay, haaray
Ham jesay tootay taaray
Tou mujhko he bhulady
Tou ik nai saza dy
Ham bikhray, tootay, haaray
Ham jesay tootay taaray



Credits
Writer(s): Ali Mustafa, Asad Tahir, Muhammad Ghazali Aslam, Syed Ayyan Ali
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link