Na To Butkade Ki Talab

Na tu butkade ki talab muje
Na hi haram k dar ki talash hai hai

Jahan lut gaya hai sukoon-e-dil
Usi Rah guzar ki talaash hai

Tu Haram main jis ko hai dhondhta
Muje butkade(بت کدے) main wo mil gaya

Tuje kia malaal(ملال) hai zahida(ذاہدا)
yeh nazar nazar ki tlash hai

Muje Sab Qabool falak magar
Gham e dost(غم دوست) muj se talab na kar
Isi kaise dil se juda karun
meri umar bhar ki talaash hai

Ae Tabib Chor yunhi muje Main Mareez-e-Ishq Hun, La dawa (اے طبیب چھوڑ یونہی مجھے میں مریض عشق ہوں لادوا)
Yeh Hain Ishq Ishq Yeh hai Ishq Ishq

Ishq ki Chot(چوٹ) ka dil pe asar ho to sahi
Kam ho ya ziada ho magar ho to sahi
Yeh hai Ishq Ishq Yeh hai Ishq Ishq

Majnun Nazar Ati hai Layla nazar ata hai
Wahshat main har ek naqsha ulta(الٹا) nazar ata hai
Dekho yeh hai ishq ishq yeh hai ishq ishq

Wadi-e-Najd(وادی نجد) se phir kar jo hawa ati hai
Qais ke rone ki ab tak yeh sada ati hai
Dekho yeh hai ishq ishq yeh hai ishq ishq

Ka'aba main gaye ham par na gaya buton(بتوں) ka ishq
Is rog ki khuda k ghar main? nahi
Kafir-e-Ishq huwe to sanā bhool gaye
Naam-e-but yad raha Naam-e-Khuda Bhool gaye

(Asad)



Credits
Writer(s): Nusrat Fateh Ali Khan
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link