Safar

Kya Safar tha yehi tak hamara?
Be khabar hi rahi, tujhko pukara 100 dafa

Naa qadar tujhko meri, Tera Khasara
Kese kahoun, Bin tere nahin ha guzaara ab mera

Tere baad youn dil mein tanhai rahi
Ke Aankhon mein Halka sa paani
Or baaton mein behad gehari rahi

Ajab si ye khud se Ladai rahi
Ke Tu laakh bura meri nazar mein tha phir bhi Najane kiun Mere dil ke us kone mein teri Hamesha Achai Rahi?

Magar aaj bhi ha teri wohi zid ke hum raaste alag karen raabte bhi rakhen na
Meri Kaaghzi Hi Samajh saari baaten magar Kuch loog Jaan Haarke Bhi marte na

To tu kardena Mujhe khudse judaa
Par khuda ke Liye dil mein ek ghar dena

Ke tu laut kar bhi aaye Kabhi to
Na Wapis ye Dil Mujhko Youn Banjar Dena

Mein aaj bhi houn wohi khada tere intezaar mein
In aankhon mein leke umeeden

Dekho tumne sikhaya tha hasna mujhe
Tum hi qatil bane ho hasi ke

Dekho tumne sikhaya tha waqt pe waade nibhaana mujhe
Par jab waqt aaya tum hi waade wo nibha na sake

Kya Safar tha yehi tak hamara?
Be khabar hi rahi, tujhko pukara 100 dafa

Naa qadar tujhko meri, Tera Khasara
Kese kahoun, Bin tere nahin ha guzaara ab mera

Tumse mein kiun karoun ye ronaken juda tumhari?
Tumhare hi hisse mein rahegi wafa hamari

Tera deedar na hoga, na tumse baat hogi
Is se bhar ke bhala kya rakhen hum saza hamari?

Mein nai laiq tere, Jaanta houn
Judaa hone ki bhi munaasib ha Wajah Tumhari

Ke mein na kar saka qadar teri, or dair kar di maine,
Shay jo tootne ke baad ya sambhaali to phir kya sambhaali?



Credits
Writer(s): Sameer Asim
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link