Yaadien

Me utha jo soke to aayi tabhi soch
Ki jee ra hu kal ke liye
Mai chooka kayi mauke wo bane mere shauk
Jo seekha wo kal se liye

Yuhi baitha yaad kiya kal
Wo lamhe jo tab the ghatey
Kuch kisse ghane they jo jadd se gaddey the
Jo dhundley wo mujhse parey

Be wajah he yaad kiya sab lage mujhe jiase
Ab bhi hum unme phasey hai
Kuch aise bhi baatein thi jinse ham haste they
Kaafiyon me aansu bahey

Tum kitna he taalo
Ya andar sama lo
Ye baatein to kal bhi rahegi

Tum dil me chupa lo
Ya dil se mita do
Ye yaadein to kal bhi rahegi

Bas wo yaadein reh gayi
Yaadein reh gayi
Bas wo yaadein reh gayi
Yaadein reh gayi

Kya he wo din the jo bachpan ke ginke
Bin matlab ke sabhi se milte the
Rishtey too tab ke he khilte the
Abhi too dikhte bas aapsi shikwe hai

Masoom sa mann mera kare guzaarish
Jaa le aa wo waqt jo na sakht tha
Kaise batlaun ye nhi koi sazish
Jo bas me na le aa wo sakta

Harr daur pe milege naye se log
Kuch mahool banayege kaafi
Reh gaye wo sathi kehlayege
Baki to maazi safar ke hai rahee

Tum kitna he talo
Ya andar sama lo
Ye baatein to kal bhi rahegi

Tum dil me chupa lo
Ya dil se mita do
Ye yaadein to kal bhi rahegi

Bas wo yaadein reh gayi
Yaadein reh gayi
Bas wo yaadein reh gayi
Yaadein reh gayi



Credits
Writer(s): Varun Tembhare
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link