Hoti Rahengi Mulakaatein Tumse (Reprised Version)

Ek shehar hain tera nigaaho se durr kahi
Jaha milti hain mujhe tu khwaabo mein wahi

Chalta nahi zor kismat par ab humara kya kare
Milte hain hum inhi kashkamash mein kya kare

Chale tere kadam mere safar pe jo kahi
Mehsoosh hota hain mujhe tu aaj bhi yahi kahi

Yeh aasmano par jo teri baatein chaa jati hain
Tu na jaane mujhe kaha kaha yaad aati hain

Yeh raaste yeh fazaaye
Tera chehra bann kar aate hain
Mein tujhe bhool jaau
Yeh kaisi baatein lekar aate hain

Yeh zamaana sukoon ki jab bhi baat karta hain
Tere naam ke saath mere naam ko yaad karta hain

Yeh mohbhatt fazaa mein hain
Mere naam mein ke kaha mehak uthi hain
Teri gali ke tawaaf zehan mein karke
Jaan tarash uthi hain

Jo khuch tha nahi woh gawaa kar aaya hu
Mein tere shehar mein khud ko chor kar aaya hu

Woh galiya, woh raaste
Woh dareeche, woh khyaal
Raasta takte hain mera
Aur karte hain malaal

Mein tha nahi jo khuch ho kar aaya hu
Mein naa jaane kitna tere shehar,ro kar aaya hu
Khuch guzra tha waqt tha
Khuch guzre khyaal bhi teh
Tere shehar ke chaand dekh kar
Raat ke ayaam bhi teh

Sard hawaaye kaano mein
Tera naam gungunaa rahi thi
Kuch raahe raato mein aakar
Tera naam pukaar rahi thi

Mein jaha jaata tujhe dekhta
Tujhe dekh kar hi mujhe jeena aaya
Mein jii na paaya toh jii kar kya karta
Marte-marte mene yeh paaya

Khuch tha nahi jo usey gawaa du
Jo ab hain usey apna banaa lu
Mein nahi chahta zindagi yunh
Guzre mein khud ko tere naam pe mita du

Phir ek waqt aaega,na jaane kon kaha jaaega
Naa jaane kis kaali raat mein soye rahege
Naa jaane kis qabar mein khoye rahege
Yeh jo zindagi mili hain mujhe
Zindagi guzaar dete hain
Yeh majboori, dehsat, jhizak kya hain
Aao phir naam lete hain

Kya hoga? agar tum bhichad jao
Kya hoga? agar mein bhichad jau
Duniya toh yunhi naam rakhegi
Kyu duniya ki baato mein aau

Ab zarro aasmano par hain
Ke mere naam ke saath mehke hain
Tu hain ke mere saath hain mera
Isliye toh yeh log chehke hain

Tu kyu nhi samjta baato ko samaj kar anjaan ho chala hain
Meri baatein, meri raatein,tu ab chor kar kaha le chala hain

Kyu bataau mein kya hu? Aur kis liye kho raha hu
Mein jitegi ji zinda tha,marte-marte ro raha hu

Ab ho chale zindagi toh guzaar du tere saath
Kya karu akele ji kar Yeh tanha-tanha bari raat

Par yeh kehta hu khud se ke yeh baat hoti rahegi
Mulakaatein nigaaho se durr hain,tujhse hoti rahegi

Tu nigaaho se durr hain mere,dil se toh na hua
Mene kitna khuch kaha tujhse par tu mera na hua

Meri awaaz sunkar tune raate rokar guzar di
Mere intezaar mein tune zindagi guzaar di

Mein tere intezaar mein
Yunhi raat zarro mein khoya karta hu
Tujhe nahi khabar ke mein
Ab kaha raato mein soya karta hu

Tu aa chal mere pass phir
Zindagi bitaa du mein phir
Tere saath jeena hain mujhe
Aa sabko bata du mein phir

Kehta hu aaj bhi tum meri taqdeer mein gar nahi
Hoti rahegi mulakaatein tumse nigaaho se durr ho dil se nahi



Credits
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link