Zor Ki Barsaat Hui (From "Zor Ki Barsaat Hui")

Kal bade zor ki barsaat hui
Kal bade zor ki barsaat hui
Meri tumse pehli-pehli mulaqat hui
Meri tumse pehli-pehli mulaqat hui

Uh, barish to bas ek bahaana tha
Tere jo nazdeek aana tha
Aankhon se teri jo aankhen mili
Meri saansein tham gayi

Chup rahe, nazron se saari baat hui
Chup rahe, nazron se saari baat hui
Meri tumse pehli-pehli mulaqat hui, mulaqat hui
Haan, barsaat hui, mulaqat hui

Haan, saara shehar so raha tha
Tum thi khoi masti mein
Jaise koi chaand khoya ho
Taaron ki basti mein

Naino mein tere sharaarat thi
Apni bhi thodi sharaafat thi
Lekin jo dil mein thi chahat chhupi
Honthon pe aa gayi

Is tarah phir pyaar ki shuruvaat hui
Is tarah phir pyaar ki shuruvaat hui
Meri tumse pehli-pehli mulaqat hui
Meri tumse pehli-pehli mulaqat hui

Haan, resham si tu aur yeh saavan mahina
Dil mera jaaye pighal ye kahin na
Boondein lapete hue hai badan pe tu badalon se chura ke
Jaaye jidhar tu, nazar meri jaaye
Kya dar hai, tu 'gar jigar le bhi jaaye
Deewanepan ki hadon se guzr gayi dil ki ye lagi

Beqaraari mein hi aadhi raat hui
Beqaraari mein hi aadhi raat hui
Meri tumse pehli-pehli mulaqat hui, mulaqat hui
Jo barsaat hui, mulaqat hui

Jo barsaat hui, mulaqat hui



Credits
Writer(s): Rochak Kohli
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link