Beqarar Dil Tu Gaaye Ja

Beqarar dil, tu gaaye ja
Khushiyon se bhare wo tarane
Jinhe sun ke duniya jhoom uthe
Aur jhoom uthe dil, deewane
Beqarar dil, arre, tu gaaye ja

Raag ho koyi milan ka
Sukh se bhari sargam ka
Yug-yug ke bandhan ka
Saath ho laakhon janam ka

Aise hi baharein gaati rahein
Aur sajte rahein veerane
Jinhe sun ke duniya jhoom uthe
Aur jhoom uthe dil, deewane

Beqarar dil, tu gaaye ja
Khushiyon se bhare wo tarane
Jinhe sun ke duniya jhoom uthe
Aur jhoom uthe dil, deewane
Beqarar dil, tu gaaye ja

Raat yun hi tham jaayegi
Rut ye haseen muskayegi
Bandhi kali khil jayegi
Aur shabnam sharmayegi

Pyaar ke ho aise nagmein
Jo ban jaayein afsaane
Jinhe sun ke duniya jhoom uthe
Aur jhoom uthe dil, deewane
Beqarar dil, tu gaaye ja

Dard mein doobi dhun ho
Seene mein ek sulgan ho
Saanson mein halki chubhan ho
Sehmi hui dhadkan ho

Dohraate rahe bas geet naye
Duniya se rahe begaane
Jinhe sun ke duniya jhoom uthe
Aur jhoom uthe dil, deewane

Beqarar dil, tu gaaye ja
Khushiyon se bhare wo tarane
Jinhe sun ke duniya jhoom uthe
Aur jhoom uthe dil



Credits
Writer(s): Kishore Kumar, A Irshad
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link