Main Kahin Kavi Na Ban Jaoon

Main kaheen kavi na ban jaaoon tere pyaar mein ai kavita

Main kaheen kavi na ban jaaoon

Tuje dil ke aaine mein maine baar-baar dekha

Teri ankhiyon mein dekha to chhalakta pyaar dekha
Tera tir maine dekha to jigar ke paar dekha

Main kaheen kavi na ban jaaoon tere pyaar mein ai kavita
Main kaheen kavi na ban jaaoon tere pyaar mein ai kavita
Main kaheen kavi na ban jaaoon

Tera rang hai salona tere ang mein lachak hai

Teri baath mein hai jaadoo tere bol mein khanak hai
Teri har ada muhabbat too zamin kee dhanak hai

Main kaheen kavi na ban jaaoon tere pyaar mein ai kavita
Main kaheen kavi na ban jaaoon tere pyaar mein ai kavita
Main kaheen kavi na ban jaaoon

Mera dil lubhaa raha hai tera rup sada-sada

Ye jhuki-jhuki nigaahen kare pyaar dil mein jyaada
Main tujh hee pe jaan doongha hai yahi mera iraada

Main kaheen kavi na ban jaaoon tere pyaar mein ai kavita
Main kaheen kavi na ban jaaoon tere pyaar mein ai kavita
Main kaheen kavi na ban jaaoon

Credits
Writer(s): Jaikshan Shankar, Jaipuri Hasrat
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link