Tere Sang Pyar Main Nahin Torna / Dialogue : Hare Tum Log Ass Kyoon ( Nagin ) / Dialogue : Goli Kisne Chalai Hai ( Nagin ) - Nagin / Soundtrack Version

Are, tum log has kyun rhe ho?
Has nahi rhe, dost, ro rhe hain
Tumhari akal pe aur hum sab ki bewakoofi per

Ek deewane ne khwaab dekha jungle mein
Aur uski tasdiiq ke liye hum sab deewane tumhare darbar mein pahunch gaye
Ye deewangi nahi, haqiqat hai
Maine apni aankhon se un do insaano ko saanp bante hue dekha hai

Vijay, pehle to tumhari sirf dimag pe shak tha
Ab maloom hota hai ki tumhari aankhien bhi jaa rhi hain
Hum ye kaise maan sakte hain, yaar?
Ki ek saanp jab chhahe insaan ka roop dharan kar le
Aur jab jee mein aaye, fir se saanp ban jaaye
Main to kehta hoon ki ye tumhare dimag ka fatoor hai aur kuch nahi

Mujhe to soch kar bhi hasi aati hai, yaar
Chand saal pehle tumhare jaise log
Chaand per jaane waalo per aisa he hasa karte the
Oh, philosopher sahab
Aap apni philosophy se sach ko jhooth mein nahi badal sakte

Are, bhai, ye iksha-daari saanp sadiyo se hain
Aur jo baat sadiyo se such hai, wo aaj bhi such hai, samjhe?

Tere sang pyaar main nahi todna
O, tere sang pyaar main nahi todna
Chhahe tere peeche jag pade chhodna
O, tere sang pyaar main nahi todna

O, tere sang pyaar main nahi todna
Chhahe tere peeche jag pade chhodna
O, tere sang pyaar main nahi todna

Maang meri mein shabnam ne moti bhare
Aur nazaro ne mehendi lagai
Maang meri mein shabnam ne moti bhare
Aur nazaro ne mehendi lagai

Naache bin he paayaliya chanakne lagi
Bin hawa ke he chunri lehraai, chunri lehraai
Aaj dil se hai dil ko jodna

O, tere sang pyaar main nahi todna
O, tere sang pyaar main nahi todna

Aankh banke tujhe dekhti he rahoon
Pyaar ki aisi tasweer ban ja
Aankh banke tujhe dekhti he rahoon
Pyaar ki aisi tasweer ban ja

Teri baanhon ki chhanv se lipti rahoon
Mere saanson ki taqdeer ban ja, taqdeer ban ja

Tere saath waada kiya nahi todna
O, tere sang pyaar main nahi todna
O, tere sang pyaar main nahi-

Goli kisne chalayi? (Maine) kyun?
Aankhir main goli nahi chalata to naag us ladki ko das leta
Wo ladki nahi hai, bewakoof, wo nagin hai
Aur jis naag per tumne goli chalai hai
Use main insaan ke roop mein dekh chuka hoon
Us'se baatein kar chuka hoon

Lekin ab kya karoon? Pistol se nikli hui goli wapas to nahi aa sakti
Jis tarah pistol ki goli wapas nahi aa sakti
Isi tarah nagin ka badla kabhi tal nahi sakta
Kehte hain, "marne waale naag ki aankh mein maarne waale ki tasweer reh jaati hai"
Aur nagin us waqt tak chain se nahi baith'ti
Jab tak wo khoon ka badla na chuka le

To ab kya kiya jaaye?
Kiran ke bachne ki sirf ek he soorat hai
Humein foran us naag ko dhundh ke zameen mein daba dena chhaiye
Taaki wo nagin apne naag ki aankh mein iske tasweer na dekh sake
Let's search, haan, chalo (chaliye)



Credits
Writer(s): Laxmikant Pyarelal, Varma Malik
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link