Ana Ibn-e-Makka o Mina

bayaan karta hun darbaare shaam ka manzar
jahaan the saath sau kursi nasheen fitna gar
yazeed jham raha tha sharaab pi pi kar
aur aisi bazm me afsos aale paighambar

tha un ke samne ek bad kalaam mimbar par
bayaan karta tha jhuthe yazeed ke johar
jab us ne khatm ki taqreer bad kalami par
khateebe jahal se bole ye aabide muztar

ke tu ne khush kiya makhluq ko zarur magar
khareeda qehre khuda tu ne mukhtasar zar par
are jahaan ho zikre bad atwaar wo mimbar kab hai
lakriyon ka hai wo ambaar wo mimbar kab hai

kahaa yazeed se kuch main kahun ijaazat de
yazeed chup tha to darbari saare kehne lage
yazeed de de ijaazat ise bhi kehne de
ye kya kahega larazta hai jo naqaahat se

sambhaale tauq o rasan shaane kirdegaar aayi
imaam aaye ke mimbar pe zulfiqar aayi

ya hussain ya hussain
ya hussain ya hussain

jis ka mimbar tha wo hi bar sare mimbar aaya
wo akela tha magar surate lashkar aaya
lab kusha surate quraan wo haidar aaya
jab wo khamosh zabaan bar sare darbaar chali
karbala me na chali thi jo wo talwaar chali

ana ibne makka o mina
ana ibne zamzam o safa
ana ibne ali o fatema

lehja e noor me mola ne kahaa bismillah
laayeqe hamd o sanaa hai to wo hi ek khuda
jis ne ham aale muhammad ko hai takhleeq kiya
jis ko malum hai malum hai mera shajraa
jo nahin jaanta wo sun le ta'arruf mera

ana ibne makkah o mina
ana ibne zamzam o safa
ana ibne ali o fatema

ham ko allah ne tchhe khubiyaan bakhshi bakhuda
ilm aur hilm diya aur dile momin me rakhaa
hai samaa'at wa fasaahat wa shujaa'at wirsa
kam na thi khubiyaan tchhe jo ke ye izzat ke liye
sifatain saath mili aur fazeelat ke liye

ana ibne makkah o mina
ana ibne zamzam o safa
ana ibne ali o fatema

ham me awwal jo the wo ahmade mukhtaar huwe
koyi hamza to koyi jaafar e tayyar huwe
ham hi haidar huwe abbase alamdaar huwe
ham ko mairaje risaalat bhi imaamat bhi mili
ham ko mehrabe ibadat main shahadat bhi mili

ana ibne makkah o mina
ana ibne zamzam o safa
ana ibne ali o fatema

us ka farzand hun seh ruz raha jo pyaasa
darmiyaan zeen o zameen jis ka raha tha laasha
jis ke sajde ke sabab khaak bani khaake shifaa
khaak aur khoon me duba tha amaama jis ka
sume asb'ha tale ronda gaya laasha jis ka

ana ibne makkah o mina
ana ibne zamzam o safa
ana ibne ali o fatema

ahle insaaf ab insaaf se itna keh de
jis ki chaukhat pe salaami ko farishte utre
nauke neza se laeen un ki ridaayen lute
tum ne khaime nahin allah ka ghar khaak kiya
kalma parh parh ke muhammad ka jigar chaak kiya

ana ibne makkah o mina
ana ibne zamzam o safa
ana ibne ali o fatema

jis ke parde ke liye aayate tathear aayi
sang barsaate huwe un pe yahaan tak laayi
haif hai ruhe muhammad se na tum sharmaaye
ham ne paabande rasan ho ke tujhe maara hai
ibne marjaana tu jeeta to nahin haara hai

ana ibne makkah o mina
ana ibne zamzam o safa
ana ibne ali o fatema

baat jab khul gayi saadaate muhammad hain yahaan
ro diye ehle jafaa ubhra baghaawat ka samaan
aur isi shor me haakim ne diya hukme azaan
saat afraad jo yek mosht azaan dene lage
haq me sajjaad ke darbaari bayaan dene lage

ana ibne makkah o mina
ana ibne zamzam o safa
ana ibne ali o fatema

jab mo'azzin ne kiya kalma e takbeer adaa
bole sajjaad buzurgi hai usi ko ziba
jaise hi naam muhammad ka mo'azzin ne liya
mur ke haakim se kaha tere iraade bad hain
ye muhammad hain tumhare ke hamaare jad hain

ana ibne makkah o mina
ana ibne zamzam o safa
ana ibne ali o fatema

aib kyun apne chupata hai azaanen de kar
the agar tere muhammad to sitam kyun ham par
daal is tauq pe zanjeer pe ek baar nazar
zakhm jo tu ne diye sab dile bimaar me hain
betiyaan hain ye muhammad ki jo darbaar me hain

ana ibne makkah o mina
ana ibne zamzam o safa
ana ibne ali o fatema

tu to kehta hai ke hai dhong na'uzobillah
na payambar na wahi aayi na qur'aan utraa
phir azaanen bhi tu darbaar me hai dilwaata
le munaafiq tere chehre se utarti hai naqaab
jis ka munkir hai wo qur'aan tera lega hisaab

ana ibne makkah o mina
ana ibne zamzam o safa
ana ibne ali o fatema

is shaqaawat pe bhi ham haare nahin jeet gaye
naam azaanon me tumhaare nahin ham jeet gaye
kya ye qudrat ke ishaare nahin ham jeet gaye
yek ba yek fathe mobeen sab ko nazar aane lagi
marhaba sayyade sajjaad sadaa chhaane lagi

bole phir aabide bimaar ye izzat dekhi
dekhi ye takhte sitamgaar ye izzat dekhi
phir gayaa tujh se ye darbaar ye izzat dekhi
jis ka haami ho khuda kaun use zillat de
izzaten us ki hai allah jise izzat de

haaye hussaina haaye hussaina

utre mimbar se to baba ke kate sar ne kahaa
marhaba ay mere sajjaad ghareebe zehra
mo'jiza sarwar o rehan falak ne dekha
khutba e zainab o sajjaad ne wo kaam kiya
hashr tak zikre hussain ibne ali aam kiya



Credits
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link