Main Rahon Ya Na

Ya Hussain
Maabood Taqabl Mina
Main rahoon ya na rahoon
mera islam rahe ga mera paigham rahe ga
aye fauj e ashqya mera Islam rahy ga
Quran rahe ga mera paigham rahy ga
Haaye Hussaina
jab zohar tak Hussain bahatr ko ro chuke
Akbar ko ro chuke Ali asghar ko ro chuke
ek do pehar main ba wafa lashkar ko ro chuke
phir fauj e bad nasab se mukhatib huye Imam
Hujat tamam karta hoon sun lo mera payam
Main rahoon ya na rahoon
mera islam rahe ga mera paigham rahe ga
Main rahoon ya na rahoon
Farmaty the Hussain k main bay qusoor hoon
roshan hai tumpe
shashme Payambar ka noor hoon
Faaqon se main nidhal hoon
zakhmon se choor hoon
zakhmon pe zamkhm
piyas kis shidat main khaaon ga
lakin main Naana jaan se wada nibhaon ga
Main rahoon ya na rahoon
mera islam rahe ga mera paigham rahe ga
Main rahoon ya na rahoon
daria ko tum ne cheen lia main ne kuch kaha
paani dikha dikha ke piya main ne kuch kaha
daaghat bare jawan ka dia main ne kuch kaha
Haq per hoon mere Haq main sina bol rahi hai
sun lo woh azan meri zaban bol rahi hai
Main rahoon ya na rahoon
mera islam rahe ga mera paigham rahe ga
Main rahoon ya na rahoon
maqsad hai la ilaha ki baqa aur kuch nahi
wada ho zair e taigh wafa aur kuch nahi
iske siwa labon peh dua aur kuch nahi
raazi ho mujhse mera khuda
chahta hoon main
main hoon Hussain s
sabka bhala chahta hoon main
Main rahoon ya na rahoon
mera islam rahe ga mera paigham rahe ga
Main rahoon ya na rahoon
maqsad nahi hai jang humara khuda gawah
khat bhej ke hai tum ne bulaya khuda gawah
bejurm tumne mujhko satya khuda gawah
khanjar tale buland main takbeer karun ga
apny lahu se main khaak peh tehrir karun ga
Main rahoon ya na rahoon
mera islam rahe ga mera paigham rahe ga
Main rahoon ya na rahoon
main ab karun yazeed ki baiat nahi nahi
badlu ajal jis se shariyat nahi nahi
jeenay ke badlay choru shahdat nahi nahi
tum kaun ho naqab rukhon se hataon ga
main kaun hoon yeh nauk e sina per bataonga
Main rahoon ya na rahoon
mera islam rahe ga mera paigham rahe ga
Main rahoon ya na rahoon
aa kar dar e khayam peh Zainab ko di sada
aa aye meri ghareeb Behan aa qareeb aa
le akhri salam Hussain e Ghareeb ka
Maqsad hai mera kia yeh sabq tujh ko yaad hai
meri shareek e kaar mujhe etimaad hai
Main rahoon ya na rahoon
mera islam rahe ga mera paigham rahe ga
Main rahoon ya na rahoon
Zainab tarap kar boli ke bahiya samjh gai
Bhaiya tere ishaare ko behna samjh gai
main kia teri Ghareeb Sakina samjh gai
Khutbon se Main hilaon gi Qasar e yazeed ko
marne na doongi ab main kisi bhi shaheed ko
Main rahoon ya na rahoon
Halmin nasir yansurna
utha ghubaar e zulm karkti hain bijliyan
zeen se giray Hussain uthi surkh aandhiyan
na gah sar Hussain ka aya sar e sina
Quran suna ke syad e mazloom ne kaha
Lo Naana jaan wada wafa main kardia
Maabood taqabal minna
aye sarwar o rehan yeh lamha ajeeb hai
naizy pe lab kusha yeh Hussain ghareeb hai
Zainab tumhari shaam e ghareeban qareeb hai
sab kuch tere hawaly hai ab tum sambhalna
apna khayal rakhna Sakina ko paalna
...



Credits
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link