Ek Akela Is Shaher Mein - From "Gharaonda"

Ek akela is shahar mein
Raat mein aur dopaher mein
Abodana dhoondta hai
Ashiana dhoondta hai

Ek akela is shahar mein
Raat mein aur dopaher mein
Abodana dhoondta hai
Ashiana dhoondta hai
Ek akela is shahar mein

Din khaali-khaali bartan hai
Din khaali-khaali bartan hai
Aur raat hai jaise andhaa kuan
In suuni andheri aankhon mein
Ansu kee jagah aathaa hai dhuaan

Jeene kee vajah to koyi nahin
Marne ka bahaana dhoondta hai
Dhoondta hai, dhoondta hai

Ek akela is shahar mein
Raat mein aur dopaher mein
Abodana dhoondta hai
Ashiana dhoondta hai
Ek akela is shahar mein

In umr se lambee sadkon ko
In umr se lambee sadkon ko
Manzil pe pahonchte dekha nahin
Bas daudti-firtee rahtee hain
Hamne to thaharte dekha nahin

Is ajanabi se shahar mein
Jaanaa-pahachaanaa dhoondta hai
Dhoondta hai, dhoondta hai

Ek akela is shahar mein
Raat mein aur dopaher mein
Abodana dhoondta hai
Ashiana dhoondta hai
Ek akela is shahar mein



Credits
Writer(s): Jaidev, Gulzar
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link