Hum Ko Bulana Ya Rasool Allah

Hum ko bulana Ya Rasool Allah Hum ko bulana Ya Habib Allah Kabhi to sabz gumbad ka ujala hum bhi dekhein ge
Hamein bulwaein gay Aaqa madina hum bhi dekhein ge
Dhadak uthay ga yeh dil ya dharakna bhool jaye ga
Dil e bismil ka us dar par tamasha hum bhi dekhain ge
Adab say hath bandhay unkay rozay per kharay houn ge
Sunehri jaliyoon ka youn nazara hum bhi dekhein ge.
Dar e dolat say loutaya nahin jata koi khali
Wahan khairat ka batna Khudaya hum bhi dekhein ge
Barasti gunbad e khazra say takrati hoi boundein
Vahan per shaan say barish barasna hum bhi dekhein ge
Guzaray raat din apnay isi umeed per hum nay
Kisi din to jamal e ruey zaiba hum bhi dekhein ge
Dam e rukhsat qadam maan bhar kay hein mehsoos kertay hain
Kisay hai jakay lout aanay ka yara hum bhi dekhein gae
Puhanch jayein gay jis din aie ujagar unkay qadmoon main
Kisay kehtay hain janat ka nazarah hum bhi dekhein ge



Credits
Writer(s): Owais Raza Qadri
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link