Khushboo Ki Tarah Aaya - Live

Khushboo ki tarah aaya
Woh tezz hawao mein

Khushboo ki tarah aaya
Woh tezz hawao mein

Maanga thaa jise humne
Din raat duaao mein

Khushboo ki tarah aaya
Woh tezz hawao mein

Tum chhat pe nahi aaye
Main ghar se nahi nikala
Tum chhat pe nahi aaye
Main ghar se nahi nikala
Ye chaand bahot bhatka
Saawan ki ghata o mein
Ye chaand bahot bhatka
Saawan ki ghata o mein
Maanga thaa jise humne
Din raat duaao mein
Khushboo ki tarah aaya

Woh tezz hawao mein

Iss seher mein ek ladki
Bilkul hain ghazal jaisi
Iss seher mein ek ladki
Bilkul hain ghazal jaisi
Phoolo ka badan waali
Khusboo si adaao wali
Phoolo ka badan waali
Khusboo si adaao wali
Maanga thaa jise humne
Din raat duaao mein

Khushboo ki tarah aaya
Woh tezz hawao mein

Duniya ki tarah woh bhi
Hansate hain mohabbat par
Duniya ki tarah woh bhi
Hansate hain mohabbat par
Dube huye rehate the
Jo log wafaao mein
Dube huye rehate the
Jo log wafaao mein
Maanga thaa jise humne

Din raat duaao mein
Khushboo ki tarah aaya
Woh tezz hawao mein

Hasate huye aaye ho
Rote huye jaaonge
Hasate huye aaye ho
Rote huye jaaonge
Kaate bhi chubhayenge
Ye phool adaao mein
Kaate bhi chubhayenge
Ye phool adaao mein
Maanga thaa jise humne
Din raat duaao mein
Khushboo ki tarah aaya
Woh tezz hawao mein
Maanga thaa jise humne
Din raat duaao mein

Khushboo ki tarah aaya
Woh tezz hawao mein aa



Credits
Writer(s): Chandan Dass, Bashir Badr
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link