Yadon Ki Pari (feat. Junaid Ahmad)

Sanso ke aangan mein, dard ki aahat se
Neend jab toot-ti hai, ek safed chadar mein Yadon Ki Pari aati hai
Bahon mein phool hain aur chand kaliyan hain
Maazi ki khirki hai, soch ki galiyan hain
Ret ki diwarein hain aur ek gharonda hai
Jism ke is chaukhat par
Mera naam likha hai
Ek hava si chalti hai, kaaley baadal chatey hain
Zakham pe paani rista hai aur joh toofan uth-ta hai
Na to woh gharonda hai aur na woh diwaren hain
Jism ke is tootey pinjrey mein sirf ek jhoola jhoolta hai
Rooh ki chirya badal mein Pari bun urr jaati hey
Aur sanso ke aangan mein, dard ki aahat se
Neend jab toot-ti hai
Ek safed chadar mein
Yadon ki Pari aati hai

Chaman ke maali se kisi ney poocha hota
Garam laavey ka sooraj aur too-ti chatri ka saaya
Us maasoom paudhey par pasiney ki ek boondh
Ek umidh, ek aas liye
Jab woh paudhey ko seench-ta sawarn-ta
Us phool ka khwaab dekhata hey
Toh uske sookhe chehre par
Muskurahat ki papri dikhai deti hey
Kab yeh kaliyan phootengi
Bazaron mein bechunga
Aur do roti kharidunga
Seeney ke pinjrey mein bundh bhooka parinda
Jo dharakta rehta hey
Ussey ek boondh bhi mil jayegi
Shayad bhookh bhi mit jayegi
Phir fakir ki sada aati hey
"Din ka khwaab bara suhana hota hey
Dil ke behlaney ka bahana hota hey"



Credits
Writer(s): Tajdar Junaid
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link