Husn Pahadon Ka - From "Ram Teri Ganga Maili"

Husn pahaadon ka
O saaebaan, husn pahaadon ka
Kya kahna ki baaraon mahine
Yahaan mausam jaadon ka
Kya kahna ki baaraon mahine
Yahaan mausam jaadon ka

Rut ye suhaani hai
Meri jaan, rut ye suhaani hai
Ki sardi se dar kaisa
Sang garm jawaani hai
Ki sardi se dar kaisa
Sang garm jawaani hai

Tum, pardesi, kidhar se aaye?
Aate hi mere man mein samaaye
Karoon kya, haathon se man nikla jaaye
Karoon kya, haathon se man nikla jaaye

Chhote-chhote jharne hain
Ki jharnon ka paani chhu ke
Kuch vaade karne hain
Jharne to bahte hain
Qasam le pahaadon ki
Jo qaayam rahte hain

Khile-khile phoolon se bhari-bhari vaadi
Raat hi raat mein kisne saja di?
Lagta hai jaise yahaan apni ho shaadi
Lagta hai jaise yahaan apni ho shaadi

Kya gul-bute hain
Pahaadon mein ye kahte hain
"Pardesi to jhoote hain"
Ho, haath hain haathon mein
Ki rasta kat hi gaya
In pyaar ki baaton mein

Duniya ye gaati hai
Suno ji, duniya ye gaati hai
Ki pyaar se rasta to kya
Zindagi kat jaati hai
Ki pyaar se rasta to kya
Zindagi kat jaati hai



Credits
Writer(s): Ravindra Jain
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link