Tu Jaane Na (From "Ajab Prem Ki Ghazab Kahani")

Kaise batayein kyun tujhko chaahein?
Yaara, bata na paayein
Baatein dilon ki dekho jo baaki
Aankhein tujhe samjhayein

Tu jaane na, tu jaane na
Tu jaane na, tu jaane na

Mil ke bhi hum na mile tumse na jaane kyun
Meelon ke hain faasle tumse na jaane kyun
Anjaane hain silsile tumse na jaane kyun
Sapne hain palkon tale tumse na jaane kyun

Kaise batayein kyun tujhko chaahein?
Yaara, bata na paayein
Baatein dilon ki dekho jo baaki
Aankhein tujhe samjhayein

Tu jaane na, tu jaane na
Tu jaane na, tu jaane na

Nigaahon mein dekho meri jo hai bas gaya
Woh hai milta tumse hoo-ba-hoo
Oh, jaane teri aankhein thi ya baatein thi wajah
Hue tum jo dil ki aarzu

Tum paas hoke bhi, tum aas hoke bhi
Ehsaas hoke bhi apne nahi

Aise hain humko gile tumse na jaane kyun
Meelon ke hain faasle tumse na jaane kyun

Tu jaane na, tu jaane na
Tu jaane na, tu jaane na

Ho, jaane na, jaane na, jaane na
Haan, tu jaane na

Khayalon mein lakhon baat yoon toh keh gaya
Bola kuch na tere saamne
Oh, hue na begaane bhi tum hoke aur ke
Dekho tum na mere hi bane

Afsos hota hai, dil bhi ye rota hai
Sapne sanjota hai, pagla hua

Soche ye, hum the tumse na jaane kyun
Meelon ke hain faasle tumse na jaane kyun
Anjaane hain silsile tumse na jaane kyun
Sapne hain palkon tale tumse na jaane kyun

Kaise batayein kyun tujhko chaahein?
Yaara, bata na paayein
Baatein dilon ki dekho jo baaki
Aankhein tumhein samjhayein

Tu jaane na, tu jaane na
Tu jaane na, tu jaane na

Tu jaane na, tu jaane na
Tu jaane na, tu jaane na
Tu jaane na, tu jaane na



Credits
Writer(s): Pritam Chakraborty, Irshad Kamil
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link