Sukh Ke Sab Saathi

Sukh ke sab saathi, dukh mein na koyi
Sukh ke sab saathi, dukh mein na koyi
Mere Ram, mere Ram
Tera naam ek saancha, dooja na koyi

Sukh ke sab saathi, dukh mein na koyi

Jeevan aani-jaani chhaya
Jeevan aani-jaani chhaya
Jhuthi maaya, jhuthi kaaya

Phir kaahe ko saari umariya...
Phir kaahe ko saari umariya paap ki gathri dhoyi?

Sukh ke sab saathi, dukh mein na koyi
Mere Ram, mere Ram
Tera naam ek saancha, dooja na koyi

Na kuchh tera, na kuchh mera
Na kuchh tera, na kuchh mera
Ye jag jogi waala phera

Raja ho ya rank sabhi ka...
Raja ho ya rank sabhi ka ant ek sa hoyi

Sukh ke sab saathi, dukh mein na koyi
Mere Ram, mere Ram
Tera naam ek saancha, dooja na koyi

Baahar ki tu maati phaanke
Baahar ki tu maati phaanke
Mann ke bheetar kyun na jhaanke?

Ujle tan par maan kiya...
Ujle tan par maan kiya aur mann ki mail na dhoyi

Sukh ke sab saathi, dukh mein na koyi
Mere Ram, mere Ram
Tera naam ek saancha, dooja na koyi

Sukh ke sab saathi, dukh mein na koyi
Sukh ke sab saathi, dukh mein na koyi



Credits
Writer(s): Rajinder Krishan, Anandji V Shah, Kalyanji Virji Shah
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link