Banjaara

Jise zindagi dhoondh rahi hai
Kya yeh woh maqaam mera hai?
Yahaan chain se bas ruk jaaun
Kyun dil yeh mujhe kehta hai?

Jazbaat naye se mile hain
Jaane kya asar yeh hua hai
Ik aas mili phir mujhko
Jo qubool kisi ne kiya hai

Haan, kisi shayar ki ghazal jo de rooh ko sukoon ke pal
Koi mujhko yoon mila hai jaise banjaare ko ghar
Naye mausam ki seher, ya sard mein dopeher
Koi mujhko yoon mila hai jaise banjaare ko ghar

Jaise koi kinaara deta ho sahara
Mujhe woh mila kisi mod par
Koi raat ka taara karta ho ujaala
Waise hi roshan kare woh sheher

Dard mere woh bhula hi gaya, kuch aisa asar hua
Jeena mujhe phir se woh sikha raha

Hmm, jaise baarish kar de tar, ya marham dard par
Koi mujhko yoon mila hai jaise banjaare ko ghar
Naye mausam ki seher, ya sard mein dopeher
Koi mujhko yoon mila hai jaise banjaare ko ghar

Muskaata yeh chehra deta hai jo pehra
Jaane chhupaata kya dil ka samundar
Auron ko toh har-dum saaya deta hai
Woh dhoop mein hai khada khud magar

Chot lagi hai usey, phir kyun mehsoos mujhe ho raha hai?
Dil, tu bata de kya hai iraada tera?

Hmm, main parinda be-sabar, tha uda jo dar-ba-dar
Koi mujhko yoon mila hai jaise banjaare ko ghar
Naye mausam ki seher, ya sard mein dopeher
Koi mujhko yoon mila hai jaise banjaare ko ghar

Jaise banjaare ko ghar
Jaise banjaare ko ghar
Jaise banjaare ko ghar



Credits
Writer(s): Mithoon
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link