Rangrez

Aye rangrez mere, aye rangrez mere
Yeh baat bata rangrez mere
Yeh kaun se paani mein tune kaun sa rang ghola hai
Yeh kaun se paani mein tune kaun sa rang ghola hai
Ke dil ban gaya saudaai
Mera basanti chola hai
Mera basanti chola hai
Ab tumse kya main shikwa karun
Maine hi kaha tha zid kar ke
Rang de chunri pi ke rang mein
(rang de, rang de chunri pi ke rang mein)
Par mue kapaas pe rang naa rukey
Rang itna gehra tera ki jaan-o-jagar tak ko bhi rang de

Jigar rang de
Rangrez tune afeem kya hai khaa li
Jo mujhse tu yeh poochhal ki kaun sa rang
Rangon ka kaarobaar hai tera
Yeh tu hi toh jaane kaun sa rang
Mera Baalam rang, Mera Saajan rang
Mera Katik rang, Mera Aghan rang
Mera Fhalgun rang, Mera Saavan rang
Pal pal rangte rangte mere aathon pehar manbhaawan rang
Ik boond ishqiyan daal koi tu
Oo ik boond ishqiyan daal koi mere saaton samandar jaaye rang
Meri hadd bhi rang, sarhad bhi rang
Behadd rang de, anhad bhi rang de
Mandir, Masjid, Maikad rang
Rangrez mere, Rangrez mere, Rangrez mere
Rangrez mere, do ghar kyun rahe
Ek hi rang mein dono ghar rang de, dono rang de
Pal pal rangte rangte rangte rangte
Naihar peehar ka aangan rang
Pal pal rangte rangte rangte rangte
Mere aathon pehar manbhaawan rang
Neende rang de, karwat bhi rang
Khawaabon ke padeh salwat bhi rang
Yeh tu hi hai hairat rang de
Aa dil mein samaa hasrat rang de
Aaja aur waslat rang de
Jo aa na sake toh furqat rang de

Dard-e-hijraan yeh dil mein

Dard-e-hijraan liye dil mein darde

Main zinda rahun, Main
Zinda rahun
zurrat rang de
Rangrez mere, rangrez mere
Tera kya hai asal rang
Ab to yeh dikhla de
Mera piya bhi tu, meri sez bhi tu
Mera rang bhi tu, rangrez bhi tu
Meri naiya bhi tu, majhdaar bhi
Tujh mein doobun, tujh mein ubhroon
Teri har ek baat sar aankhon pe
Mera maalik tu, mera saahib tu
Meri jaan, meri jaan tere haathon mein
Mera qaatil tu, mera munsif tu

Tere bina kuch sujhe na, tere bina kuch sujhe na
Meri raah bhi tu, mera rehbar tu

Mera sarwar tu, mera aqbar tu

Mera mashriq tu, mera maghrib tu
Zaahid bhi mera, murshid bhi tu
Ab tere bina main jaaun kahaan, jaaun kahaan
Tere bina ab jaaun kahaan, tere bina ab main jaaun kahaan
(tere bina, tere bina .)
Aye rangrez mere, aye rangrez mere
Ek baat bata rangrez mere
Yeh kaun se paani mein tune kaun sa rang ghola hai
Yeh kaun se paani mein tune kaun sa rang ghola hai
Ke dil ban gaya saudaai
Mera basanti chola hai, Mera basanti chola hai.



Credits
Writer(s): Rajshekhar
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link