Aankhon Ki Gustakhiyan

Sa re sa re ni sa pa, re sa re pa
Sa re sa re ni sa pa, re sa re pa
Pa dha ni dha pa re ga re
Pa re ga re sa re pa sa

Aankhon ki gustakhiyan maaf ho
Ho, aankhon ki gustakhiyan maaf ho
Ek tuk tumhein dekhti hain
Jo baat kehna chahe zubaan
Tumse yeh woh kehti hain

Aankhon ki sharm-o-haya maaf ho
Tumhein dekh ke chhupti hain
Uthi aankhein jo baat na keh saki
Jhuki aankhein woh kehti hain

Aankhon ki (aankhon ki)
Gustakhiyan maaf ho

Kajal ka ek til tumhare labon pe laga loon
Haan, chanda aur sooraj ki nazron se tumko bacha loon
Oh, palkon ki chilman mein, aao, main tumko chhupa loon

Khayaalon ki yeh shokhiyan maaf ho
Har-dum tumhein sochti hain
Jab hosh mein hota hai jahaan
Madhosh yeh karti hain

Aankhon ki sharm-o-haya maaf ho

Yeh zindagi aapki hi amaanat rahegi
Dil mein sada aapki hi mohabbat rahegi
In saanson ko aapki hi zaroorat rahegi

Ho, iss dil ki nadaaniyan maaf ho
Yeh meri kahaan sunti hain
Yeh pal-pal jo hoti hain bekal, sanam
Toh sapne naye bunti hain

Mm, aankhon ki (aankhon ki)
Gustakhiyan maaf ho
Sharm-o-haya, hahaha! Maaf ho



Credits
Writer(s): Mehboob, Ismail Darbar
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link