Beete Lamhein

Beete lamhe...

Dard mein bhi yeh lab muskura jaate hain
Beete lamhe humein jab bhi yaad aate hain

Chand lamhaat ke vaaste hi sahi
Muskura kar mili thi mujhe zindagi

Chand lamhaat ke vaaste hi sahi
Muskura kar mili thi mujhe zindagi
Teri aaghosh mein din the mere kate
Teri baahon mein thi meri raatein kati

Aaj bhi jab woh pal mujhko yaad aate hain
Dil se saare ghamon ko bhula jaate hain

Dard mein bhi yeh lab muskura jaate hain
Beete lamhe humein jab bhi yaad aate hain
Dard mein bhi yeh lab muskura jaate hain
Beete lamhe humein jab bhi yaad aate hain
Beete lamhe...

Woh mere kaandhe pe sir ko jhukana tera
Mere seene mein khud ko chhupana tera

Mere kaandhe pe sir ko jhukana tera
Mere seene mein khud ko chhupana tera
Aa ke teri panaahon mein shaam-o-seher
Kaanch ki tarah woh toot jaana tera

Aaj bhi jab woh manzar nazar aate hain
Dil ki veeraaniyon ko mita jaate hain

Dard mein bhi yeh lab muskura jaate hain
Beete lamhe humein jab bhi yaad aate hain
Dard mein bhi yeh lab muskura jaate hain
Beete lamhe humein jab bhi yaad aate hain

Dard mein...
Beete lamhe...
Dard mein...
Beete lamhe...

Credits
Writer(s): Sayeed Quadri
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link