Raabta (From "Agent Vinod")

Kehte hain, "Khuda ne is jahaan mein sabhi ke liye
Kisi na kisi ko hai banaaya har kisi ke liye"
Tera milna hai us Rab ka ishaara
Maano, mujhko banaaya tere jaise hi kisi ke liye

Kehte hain, "Khuda ne is jahaan mein sabhi ke liye
Kisi na kisi ko hai banaaya har kisi ke liye"
Tera milna hai us Rab ka ishaara
Maano, mujhko banaaya tere jaise hi kisi ke liye

Kuch to hai tujhse raabta
Kuch to hai tujhse raabta
Kaise ham jaanein, hamein kya pata
Kuch to hai tujhse raabta

Tu hamsafar hai, phir kya fikar hai?
Jeene ki wajah yahi hai, marna isi ke liye
Kehte hain, "Khuda ne is jahaan mein sabhi ke liye
Kisi na kisi ko hai banaaya har kisi ke liye"

Hm, meherbaani jaate-jaate mujhpe kar gaya
Guzarta sa lamha ek daaman bhar gaya
Tera nazaara mila, roshan sitaara mila
Taqdeer ki kashtiyon ko kinaara mila

Sadiyon se tarse hain jaisi zindagi ke liye
Teri sohbat mein duaayein hain usi ke liye
Tera milna hai us Rab ka ishaara
Maano, mujhko banaaya tere jaise hi kisi ke liye

Kuch to hai tujhse raabta
Kuch to hai tujhse raabta
Kaise ham jaanein, hamein kya pata
Kuch to hai tujhse raabta

Tu hamsafar hai, phir kya fikar hai?
Jeene ki wajah yahi hai, marna isi ke liye
Kehte hain, "Khuda ne is jahaan mein sabhi ke liye
Kisi na kisi ko hai banaaya har kisi ke liye"



Credits
Writer(s): Pritam Chakraborty, Irshad Kamil, Amitabh Bhattacharya
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link