Mausam Ki Tarah

Duniya Ki Tarah,
Rasmon Ki Tarah
Vaadon Ki Tarah,
Kasmon Ki Tarah
Mausam Ki Tarah Tum Bhi
Badal To Na Jaaoge
Mausam Ki Tarah Tum Bhi
Badal To Na Jaaoge
Duniya Badalti Hai,
Mausam Badalte Hai
Lekin Mere Dil Ko
Badal Nahin Paaoge
Mausam Ki Tarah Tum Bhi
Badal To Na Jaaoge
Mausam Ki Tarah Tum Bhi
Badal To Na Jaaoge
Aasmaanon Ke Aage
Tumne Vaada Kiya Hai
Dil Ke Badle Mein Maine
Pyaar Tumko Diya Hai
Dharti Ki,
Ambar Ki Kasam
Mujhko Hai
Tere Sar Ki Kasam
Nazrein Badalti Hain
Sapne Badalte Hain
Lekin Meri Dhadkan Ko
Tum Dhadkaaoge
Mausam Ki Tarah Tum Bhi
Badal To Na Jaaoge
Mausam Ki Tarah Tum Bhi
Badal To Na Jaaoge
Meri Pehli Tamanna,
Aakhri Pyaar Ho Tum
Rooh Mein Bas Gaye Ho,
Mere Dildaar Ho Tum
Aise Hi Tumhe Chaahoonga Main
Tumhe Dulhan Bhi Banaaoonga Main
Sehre Badalte Hain,
Khushboo Badalti Hai
Pal Pal Meri Saanson
Ko Tum Mahekaaoge
Mausam Ki Tarah Tum Bhi
Badal To Na Jaaoge
Mausam Ki Tarah Tum Bhi
Badal To Na Jaaoge
Tumne Dhoka Diya To
Kuch Bhi Kar Jaaoongi Main
Tum Judaa Jo Hue To
Dekho Mar Jaaoongi Main
Meri Manzil
Teri Raahon Mein Hai
Meri Jannat
Teri Baahon Mein Hai
Raahi Badalte Hain,
Raste Badalte Hain
Main Daudke Aaoonga
Jo Mujhko Bhoolaaoge
Mausam Ki Tarah Tum Bhi
Badal To Na Jaaoge
Mausam Ki Tarah Tum Bhi
Badal To Na Jaaoge
Badal To Na Jaaoge
Badal To Na Jaaoge
Badal To Na Jaaoge



Credits
Writer(s): Sameer, Lalan Fakir
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link