Manzoor Hai

Phir jodein milke
Wo tukde dil ke
Bikhre pade jo yahan

Kal tum the, hum the
Raahein wo jin pe
Koi nahi ab wahan

Ye saasein keh rahin tumse
Ke inka dil to bas tum thhe
Tumhi ne tha diya jeena
Tere bin hum zara kam thhe

Tera humko bhula dena
Hansa ke phir rula dena
Mujhe manzoor hai jo bhi
Mile tumse, ho mile tumse

Apna bana ke aise door jaana tera
Yaadon se mila ke mujhe bhool jaana tera
Jaane kitni dafa manaya hai maine tujhe
Phir kyun juda hai mujhe ye batana zara

Kabhi tum khwaab hote thhe
Meri neendon mein sote thhe
Meri aankhon se haste thhe
Meri aankhon se rote thhe

Tera humko bhula dena
Hansa ke phir rula dena
Mujhe manzoor hai jo bhi
Mile tumse, ho mile tumse

Kisko pata tha kabhi aise nazdeekiyan
Aayengi liye raaston mein sau dooriyan
Jaane kyun teri wo jagah aasuon ne hai li
Rehta tha banke jahan tu kal khaab sa

Ghulne lagi ab shaamein apni kahaniyan
Aur phir hai kahin tu aur main kahin

Ye saasein keh rahin tumse
The inka dil to bas tum thhe
Tumhi ne tha diya jeena
Tere bin hum zara kam thhe

Tera humko bhula dena
Hansa ke phir rula dena
Mujhe manzoor hai jo bhi
Mile tumse, ho mile tumse



Credits
Writer(s): Kunal Verma, Ami Mishra
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link